Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Thursday, 31 July 2014

Kya hai

Tujhe kho ke ye jaana, ke khona kya hai,

Tere bina jeena bhi, jeena kya hai,

Kasoor tera nahi meri kismat hi bewafa nikli,

Tujh bin mera hasna, agar hasna ye hai, to fir rona kya hai.

Monday, 28 July 2014

Kaisi uski udaan thi

Chod chala vo parinda mere aashiyan ko,

jis parindey se meri ek pehchaan thi,

reh gya main fir se akela,

ye jaane kaisi uski udaan thi.

 

Reh guzar tha vo mera,

meri ek vo jaan thi,

kar gya mujhe be-sahara

ye jaane kaisi uski udaan thi,

 

Na socha usne ek baar bhi mere vajood ko,

Udd chala vo leke khud ke naseeb ko,

na samjha maine ke, uske dil main bhi armaan thi,

ye jaane kaisi uski udaan thi.

 

Tanha vo bhi ho ga mere bina, janta ye bhi hu,

chahata vo bhi na tha, jaanta ye bhi hu,

Jaanta hu main ki uski bhi ek pehchaan thi,

ye jaane kaisi uski udaan thi.

Saturday, 26 July 2014

Likhta hu

Main Shabd nahi likhta,

Mann ke jazbaat likhta hu,

Koi kavita na samjahna ise,

Main sirf Tuute dil-o ke halaat likhta hu.

Darta nahi main

Darta nahi main marne se,

Darta hu tujhse bichadne se,

maut to aani hai ek baar,

Dar lagta hai tujhse bichad ke, roz marr marr ke jeene se.

Layak

Tera layak nahi main, ye sahi kehti hai tu,

Ye baat agar jhooth hoti, to aj mujhse tu duur na hoti.

Zamane

Koi hota mera bhi iss zamane main agar,

To yu meri raate, tanha aansuon main na guzarti.

Wednesday, 23 July 2014

Muskurahat

Kisi ki muskurahat se uski khushi ka andaaza na laga aye dost,

Ke Aksar, unki muskurahat gamo ko chupane ka ek zaria  maatr hua karti hai.

Tuesday, 22 July 2014

Kareeb

Kareeb mere the aj vo bahut,
Par har labzz maano hoton pe taher se gaye,
ankhein sirf use hi dekhti reh gai,
aur jazbaat mere ek baar fir sawar gaye.

Sunday, 20 July 2014

Nahi Main

Hawa ka kahi koi jhoka to nahi main,

yaado ki ek saugaat to nahi main,

kisi ke liye pyar kabhi to,

kisi ke liye ek jazbaat to nahi main,

koi mujhe aashiq kehta hai, koi mujhe deewaana,

Koi mujhe paheli kehta, koi mujhe afsaana.

kisi ke dil ka kahi koi dhoka to nahi main,

hawa ka kahi koi jhoka to nahi main.

 

Kisi Ke liye kahi pagal to nahi main.

Ek dil ke liye kahi ghayal to nahi main,

Hasne ki wjaha kabhi nahi,

Aasun ka tere kaaraan to nahi main,

Aashaon ki bhujhti hui ek lau nahi par,

Ujda hua kisi ka, kahi koi aashiyana to nahi main,

chaha bahut pyar karna kisi ko,

Par uske layak, shayad nahi main.

Tuesday, 15 July 2014

Shaqs

Har shaqs dhoondhta hai, mujh main kisi na kisi ko,

Iss kashma-kash main vo, mera hi vajood bhool baithe.