Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Tuesday 31 January 2012

Iss dil ne


Iss dil ne ab pyar karna chod diya,
Jis din se tmne ye dil tod diya,
Ab to ro bhi nahi sakte apni bebasi pe,
Iss liye in aankhon ne ab rona bhi chod diya.


Zindigi main ek sapna dekha tha vo bhi toot gya,
Chaha tha jise poore dil se vo bhi rooth gya,
Pta nahi kyon jee rahe hai tere jaane ke baad bhi,
Ab to tanhaiye reh gai bas hamare saath, jo raahi se saath ke sab vo bhi chooth gye.


Tanhaiyon main bas itni dua karte hai,
Uss ko hamesha khush rakhna jis pe hum marte hai,
Hamari khushi to kewal us se hi judi hai, ye kaise samjhaye use,
Aur chaha ke bhi nahi bhula sakke jis se hum pyar karte hai.

Monday 23 January 2012

jana hi tha


Jab jana hi tha tmhe to aaye kyon hamari zindigi main,
Yu rulana tha fir kyon hasna sikhaya hame,
Ab to tadapne ke liye chod diya saari umar,
Pal pal yu marna hi tha to zinda kyon btaya hame.

Zindigi se bhagte bhaagte zindigi takra gai,
Maut ki taraf chale par zindigi bha gai,
Tmnse na milte to iss pyar ko kabhi na samajh pate,
Tujhse bichadna mano haath se zindigi chuuth gai.

Tum se ankahe kuch alfaaz baki hai,
Toote iss dil ki awaaz baaki hai,
Anjaam to bahut dekhe honge tmne jazbaato ke,
Par iss pyaar ka abhi agaaz baaki hai.

Friday 20 January 2012

Zindigi Ki kitaab


Kabhi zindigi ki kitaab paltoge to ek panna hamara bhi nazar aayega,
Chaho na chaho hamara chehra tmhe fir nazar aayega,
Tab bhi ye mat samajhna ki vo ek guzra hua kal tha,
Awaaz de ke dekhna vo us waqt bhi tmhare saye ki jagah nazar aayega.

Jazbato se khelna kabhi hamne nahi seekha,
Majdhaar main akela chodna kabhi hamne nahi seekha,
Vo to aur honge jo pyar ke naam pe dil toda karte hai,
Ham to vo hai, jo toote dil ke saath bhi kabhi marna nahi seekha.

Zindigi ne gum itne diye ki,
Khushi ki baat se bhi ab to darr lagta hai,
Rehte the tmhare saath to ye zindigi, zindigi lagti thi,
Ab to ye zindigi bhi ek viraan basera sa lagta hai

Jab tak saas hai teri yaad yu hi aayegi,
Tere bina to ye zindigi har waqt yu hi tadpayegi,
Kabhi yaad aaye hamari to pukaar lena,
Tmhe hamari yaad nahi to, hame saari umar tmhari yaad aayegi.

Tuesday 17 January 2012

Kaash agar main


Kaash agar main ek fuul hota,
Kabhi to tmhare hoton ko chuta,

Kaash agar main ek aasu ki boond hota
Kabhi to khushi main tere gaalon ko chumta.

Kaash agar main ek hawa ka jhoka hota
Kabhi to teri saason ki khushbu apne main sameet leta.

Kaash agar main ek sapna hota,
Kabhi to tum band aankhon se bhi mujhe dekhti,

Kaash agar main ek aaena hota,
Kabhi to tm apne aapko mujh me dekte,

Kaash main ek dua hota,
Kabhi to tm dono haath utha ke hamein bhi rab se maangte,

Kaash agar main ek lamha hota,
Kabhi to tm mere saath bhi jeete

Kaash agar main ek umeed hota,
Kabhi to tm mujh pe bhi vishvaas karte.


Kaash agar main...... kaash agar main....!!!!!

Monday 9 January 2012

koi apna mila


Zindigi ke anjaan raho pe koi apna mila,
Jo khawab aankhon main basa tha vo sapna mila,
Tanha chale the jin andheri raho pe,
Un raho pe ek roshni ka saath mila.


Sapno ke udaan main khoye the kuch iss tarah,
Bhool gaye the apne aap ko kuch iss tarah,
Vo sapne to ab bas sapne ban ke reh gye,
Ab to hakeekat bhi lagta hai ek sapne ki tarah.


Tanhaiyon se darte the to tmne smbhala,
Doobte is dil ko tmne sambhala,
Ab to bas yaadon main hi tm baste ho,
Jin yaadon ko ab tak hamne sambhala.