Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Monday 19 December 2011

Intazaar


Us din se aankhon main tera hi intazaar liye baithe hai,
Jab se jana pyar kya hai, dil main tere liye ye pyar liye baithe hai,
Teri khushboo aaj bhi in saason main ghuli hui hai,
Aur aaj bhi andhere main, umeed ka ek diya jalaye baithe hai.


Aaena dekhu to tm hi nazar aate ho,
In nazaro se dil main tm hi samate ho,
Koshish ki iss dil ko samjhane ki kai baar,
Par dil ki har dhadkan ke saath tm hi nazar aate ho.


Pyar karne ki itni badi saza hame na do,
Bin gunah ke ye intazaar hame na do,
Chaho to jaan hamari le lo,
Par ye zindigi bhar ka gam hame na do.


Iss dard se to ab pyar hone laga hai,
Reh reh ke ye dil bekarar hone laga hai,
Ab to aankhon main tere hi sapne rehte hai,
Tujhe bhulne ki baat to dur, ab to tujhse aur pyar hone laga hai.

Sunday 4 December 2011

Taqdeer


Taqdeer ne raaste main yu akela chod diya,
jo saath the sabne yu muh mod liya,
vada apna kabhi humne nahi toda,
Aapne hamesh hamare vaade ko, tuta hua maan liya.

Aapse dur rehke aaj bhi hum ye dard seh rahe hai,
pyar tumse karne ka abhi bhi ye gunaah kar rahe hai,
Bhul nahi sakte kabhi aapko, nahi to kab ka bhula dete,
kyon ki tmhe bhulane ki hum koshish bhi nahi kar rahe hai.

Ye jante hua bhi ki aap kabhi hamare nahi ho sakte,
Iss duniya ki  bheed main ye jazbaat kabhi nahi kho sakte,
Fir bhi zindigi hum isi tarah jiye ja rahe hai, tumse pyar kiye ja rahe hai
Koi aansu pochne vala bhi nahi, In aasuon ko apne aap hi piye ja rahe hai.

Friday 2 December 2011

Laal jode main

Aaj dulhan ke laal jode mein use uski sakhiyon ne sajaya hoga,
Meri Jaan ke gore haathon pe mehndi ko lagaya hoga.

Bahot gehra chadha hoga mehndi ka rang, Us mehndi mein usne mera naam chupaya hoga.
Reh-reh ke ro padi hogi, jab usko mera khayaal aaya hoga.

Khud ko dekha hoga jab aaine mein, to aqs mera bhi nazar aaya hoga.
Bahut pyari lag rahi hogi vo, Aaj dekh kar usko chand bi sharmaya hoga.

Aaj meri jaan ne apne Maa Baap ki izzat ko bachaya hoga, Usne Beti hone ka har farz nibhaya hoga..
Majbur hogi wo sabse zyada, Sochta hun kis tarah usne khud ko samjhaya hoga.

Apne haathon se hamare khaton ko jalaya hoga, Khud ko mazbut bana kar meri yaadon ko mitaya hoga.
Bhukhi hogi wo jaanta hun main, Mere bina usne kuch na khaya hoga.

Kaise sambhala hoga khud ko, Jab usne feron mein khud ko jalaya hoga...

Wednesday 30 November 2011

Raat aankhon

Raat aankho main kat gai teri yaadon main,
Dil de diya humne aapke haathon main,
Zindigi ki ab koi chahat nahi
Ab to dumm nikle to bas aapki baahon main.

Chaha hai tmhe poore junoon se,chahat hai hamari rahe aap pure sukoon se,
Kadar hai hamein aapke jazbaaton ki,
Par chahate hum yehi hai ki, viswass kare aap hum pe poore yakeen se.

Apni muskurahat ke peeche apne gum na chupaya karo,
Ye dikha ke ki aap gum main bhi khush ho, hamein itna mat staya karo,
Aapke har gum samajh skte hai hum duur se bhi,
Yu jhooth bol ke hame na yu rulaya karo.

Friday 25 November 2011

Nishani


Iss dard ko hamne dard na samjha ye to ek nishaani hai,
Hamari zindigi ki adhuri yehi bas ek kahani hai,
Ye aankhein aaj bhi tere liye rooti hai,
Aur tera aj bhi yehi samjhna, ki ye aansu nahi pani hai.


Pyar ke jazbaaton ka saara khel yehi hai,
Hamare pyar ka kisi se mel nahi hai,
Un palon ki nishaniyon ko humne aaj bhi saja ke rakha hai,
Ye nishaniya hamare liye ek duniya hai, koi khel nahi hai.


Tanhai ki aagosh ain baithe hai chup chaap se,
Chahat hi nibhate rahe kewl aap se,
Ab to zindigi kis raah pe le jayegi kuch khabar nahi,
Baas itna pta hai ki vaha bhi yu hi rahenge ek zinda laash se.

Tuesday 22 November 2011

Kabhi

Kabhi to tmhe hamari baaton pe aitbar hoga,
Uss din aapko fir se humse pyar hoga,
Chahe jitna chupa lo apne aap se ye jazbaat
Ye dard tmhe us din samajh aayega jis din apne aap se iss pyar ka izhaar hoga.

Tujhe bhulne ke baad bhi ye dil tmhe bhula na paya,
Tere patthar jaise dil ko ye pyar se pighla na paya,
In aankhon main sirf tere hi sapne base hai,
Par chahate hue bhi in aankhon ko main rula na paya.

Samandar main moti jaise chupaya hamne apne pyar ko,
Laakh koshis ki na khone ki tere aaitbar ko,
Hamara pyar aapke liye kabhi kam na honge
Ab to bas dua hai ye rab se, ki kabhi aap bhi samjhe hamare inn jazbaat ko.

Monday 21 November 2011

Ikrar

hamse puchoge to ye ikrar hum karenge,
Zindigi bhar ab to pyar tmhe karenge,
Tmhara jazbaton ka to hame  nahi pta,
Par itna zaroor kahenge, ab is zindigi bhar izhaar kewal tmse hi karenge.

Rab se dua thi ki aap sa koi is suni zindigi main aaye,
Iss sukhi si zindigi main kuch haryali si aaye,
Tm aaye to is zindigi main baahar aayi,
Yu laga mano jalti zameen pe aap barish ki nanhi boond si aaye.

Kabhi sochoge un khusiyon ke pal to hm yaad aayenge,
Kabhi dekhoge aaeina to hamare gum yaad aayenge,
Tmse durr hoke bhi hamesha tmhare paas rahenge,
Kabhi zindigi main ek baar awaz de ke dekhna, tmhari parchai ke saath kewal hum hi khade nazar aayenge.

Sunday 30 October 2011

Ye saza

Tumse pyar karne ki ye saza hamne pai,
Tum hamse dur ho gai, aur ye aankh bhar aai,
Kabhi to ek baar muud ke hame dekhoge ge is zindigi ki raahon main,
To hum soochenge ki, Kabhi to aapko bhi hamari yaad aai.

Kabhi kabhi lagta hai ki hum tum se itna pyar kyon karte hai,
Kabhi yu lagta hai ki hum ye dil bekarar kyon karte hai,
Par pta nahi iss sawal ka jawaab kabhi milega ya nahi hame,
Bas itna jaante hai ki kewal aapse hi hum pyar karte hai.

Chahat ke samandar mai akele ek kinara dhundhne nikle hum,
Tere pyar ke sahare vo ishaara dhundne nikle hum
Beech raaste main tmhe kho diya apne aapse,
Ab In raaston pe tumsa ek sahara dhundhne nikle hum.



Tuesday 11 October 2011

Apne jazbaato ko hum chupa na sake,
Tere dard ko kabhi apna bna na sake,
Raaste ki shuruaat main hi hum se yu dur hue tum,
Ki duniya ko bhi apna dard dikha na sake.

Tere pyar ke saath zindigi jeene ke armaan, armaan hi reh gaye,
akele jee rahe hai tere bina, bas yehi hamari pehchaan reh gai
kabhi tere saath chale the un khusiyon ki raahon pe,
Ab un raahon pe bas tere kadmon ke nishaan reh gaye

Tera pyar paane ki aarzoo aj bhi iss dil main baaki hai,
Tere chahat ki juust ju aaj bhi is dil main baaki hai,
Aaisa lagta hai muddat ho gai tmhe dekhe hue,
Par dekha to aaj bhi teri tasveer is dil main baaki hai.

Thursday 6 October 2011

Tmhare Bina


Hamari chahat se yu muh na modo,
Iss anjaan duniya main hame akela na chodo,
De sakte hai tmhare liye apni jaan, ek baar maang ke to dekho,
Par iss tarah pyar bhara hamara dil na todo.

Aapne hamein itna anjaan bana diya,
Apne dil-o- dimaag se hame nikaal diya,
Tmhaare jaane ke baad hum kewal jee rahe hai, dusro ke saamne
Ab to aaisa lagta hai, kisi ne seene se dil hi nikaal diya.

Zindigi fir se anjaan ho gai tmhaare bina,
Hamare pyar ki vo pehchaan kho gai tmhare bina,
Kabhi hamaari zindigi main bhi jhaak kar dekho kitne akele reh gaye hai hum,
Ye akelapan hi ab hamari pehchaan ban gai ha tmhare bina.

Friday 23 September 2011

ek ehsaan


Zindigi ki dhup main tum ek chhaoo thi,
Iss ufante hue sagar main meri ek naav thi,
Aap ne kabhi nahi jaana ki hamare zindigi main aapki jagha kya hai
jaise hum bhattke hue musafir aur aap ek gaon thi

Hamare liye zindigi ka dusra naam aap the,
Hamare Pyar ki pehchaan aap the,
Aap hi chale gye hame chod kar tanhaa Iss raaste pe
Nahi to hum awaaz aur aap hamari pehchaan the.

Aaj bhi dil tumhare liye bechain hai,
Tumhare liye hum aaj bhi ek anjaan hai,
Agar hamara anjaana rehna hi aap ko khushi deta hai to yehi sahi,
Par hamare liye to aap ka pyar hamesha se ek ehsaan hai.

Sunday 18 September 2011

Aap ka Pyar


Aapke pyar ke rahi hai, hame na yu bekarar karo,
Karte hai hai tumse pyar, hame na yu inkaar karo,
Pyar ka dusra naam hi zindigi hai, ye jaan lo tum
Hamari iss baat se yu inkaar na karo.

Khusiyon ke do pal jo tumse mile, vo fir na mil payenge,
Murjhaye hue vo khusboo ke fool, fir na khil payenge
Teri yaadon ke sahare zindigi kategi hamari ab to
Vo dil pe lage zakham kabhi na sill payenge.

Aaj bhi ye aankhen pyar dhundhti hai tumhare chehre main
Teri yaadein rehti hai inn band palkon ke pehre main
Ab aasuon ke siva iss zindigi main kuch nahi bacha
Ab to chahat kewal itni hai ki, dum bhi nikle to aapke baahon ke ghere main.

Tuesday 13 September 2011

Manzil


Manzil alag ho par raaste mil hi jaate hai,
sabki taqdeer main pyar karne waale aate hai,
Samay pe apna le unhe
Nahi to kisi aur ke ho jaate hai.

Jis tarah samay kisi ke liye intazaar nahi karta,
saccha pyar kabhi bekaraar nahi karta
zayada tadpaona us pyar ko
Nahi to vo pyar kabhi vapis aitbaar nahi karta

Bhaagte rahe jis pyar ke liye puri zindigi, vo pyar kabhi ru ba ru na hua,
umeed thi jis makaam ki vo kabi ru ba ru na hua
Jab mila vo insaan jisne diya vo makaam,
Usse kabhi hamare pyar pe yakeen na hua.

Saturday 10 September 2011

AAS

Chahat ki aas ab kisi se na karenge
pyar ki ibaadat ab kisi se na karenge
iss toote hue dil ko leke saari zindigi aaise hi firte rahenge 
ab iss zindigi main mohabat kisi se na karenge

Karenge dua ki koi hum jaise dard main na rahe
pyar ki garmi mile, gairon ki sard main na rahe
apne pyar ko itna pyar do ki,
vo pyar tmhare pyar se mehroom n rahe

Ek baar tujhe seene se laga kar roona chahata hu,
ek baar teri godi main sar rakh kar soona chahata hu
pta nahi is janam main hame pyar milega ki nahi aapka
par ek baar fir tere pyar ke liye dubaara janam lena chahata hu.


please leave the comments if u like the poems. 

Khafa

Raat hai khafa humse, ki hum subah ka intazaar kyon karte hai
zindigi hai khafa humse, ki hum aapse itna pyar kyon karte hai
zindigi ko kaise btaye, ki pyar ke bina zindigi kuch bhi nahi
log fir bhi puchte hai, itne dard ke baad bhi hum aapse pyar kyon karte hai

Iss raat ki bebasi humne samjhi,
Teri aankhon ki udaasi humne samjhi,
Kabhi aap bhi hamare dard ko dekh pate hamari aankhon main, to baat kya thi
Par aaj aapke huton ki kamoshi humne samjhi

Zindigi Ki raah pe akele chalna ek aadat ho gai hai
hamara pyar hamari ibaadat ho gai hai,
Tujhe bahut koshish ki apne dil se nikalne ki,
Par ye koshish hi hamari chahat ban gai.

Friday 9 September 2011

Talash



zindigi main talash thi ek aas ki,
Hame zaroorat hai aapke vishwaas ki,
Ek baar kabhi hamare dil ki fariyaad bhi sun lo,
Abhi bhi hamare zindigi main jaghah baaki hai kisi khaas ki.

Ek ajnabi ban gye hai apne hi pyar ke liye,
Kuch bhi nahi kar sakte is dil-e bekarar ke liye
Ab to apne aasuon ko bhi nahi dikha sakte tmhe
  laut ke aajao meri zindigi vapas, hum aaj bhi intazaar main hai apne pyar k liye.

Chahat ki chahat sirf tumse hai,
Mere pyar ki ibadat sirf tumse hai.
Yakeen karo tmhari aankhon main kabhi aasu aane na denge
Hamari zindigi ki virasat sirf tumse hai.

Apka Saath

saath chalte chalte tum yu dur ho gaye
baat karte karte hum yu majboor ho gye
tumse pyar karne ki galti kar baithe is kadar, kya kahe tumhe
tmhare pyar ke liye apne aap se dur ho gye

socha tha manziley saath hongi hamari.
chaha tha raaste ek honge hamare.
raaste main hi raaste alag ho gye is tarah
ki ab to lagta hai kabhi manziley bhi ek na honge hamare

is pyar ko hamesha hamne pyar kiya,
chahat ki rahon pe hamesha apna dil bekarar kiya
hmari aankhon main hamesha vahi pyar dikhega aapko
jis pyar se hamesha inkaar raha hai aapko

Zindigi



teri aankhon main zindigi ki talash hai,
Teri baaton ki hame ek pyas hai
Pyar ki taqat ko hum jante hai, isi liye tmse pyar kiya
Aur ek din aap bhi ise maanoge is baat ka hame vishwas hai.

Apke saath bitaye chand pal hame hamesha yaad rahenge
Kal bhi aapki baaton ka gulshan hum aabaad rakhenge
Teri yaadon ko dil ki gehraiyon main rakha hai sab se chupa ke.
Zindigi ke mod pe jab bhi miloge tum hame, yu hi hum apne pyar ki fariyaad rakhenge.

Ab zindigi main aapke intazaar ke siva kuch bacha hi nahi hai
Tumse itna duur hogaye, is se badi hamare liye saza  hi nahi hai
Tumhare saath zindigi bitane ke liye hum koi bhi saza seh sakte hai
Kitni bhi koshish karle ab ye dil tere bina nahi reh sakta hai.

Wednesday 7 September 2011



humsafar ki khoj main nikle apni rahon pe,
Umeed thi vo milega hame khusiyon ki baahon main,
Us hamsafar ki khoj itni mushkil hogi hamare liye ye socha na tha
Ki ab to neend bhi nahi bachi in aankhon main

Khusiyon ki chahat rakhte hai hamesha se
Apne pyar pe barosa raha hame hamesha se
Par apne pyar ka saboot kaise dete hai ye humne nahi seekha kabhi
Is liye hame dard hi mila apne pyar ke badle hamesha se

Aankhon main umeed ki aarzoo aaj bhi baki hai
Tmhari khusboo aaj bhi hamare saason main baaki hai
Apne pyar ki roshni kabhi hum dhundhli na hone denge ye yakeen hai hame
Toote hai hum par bikhre nahi hai is ka saboot aj bhi baaki hai

Ek sawal


ye khamosh raat humse ek sawal puchti hai,
Roz mujhse tera hi naam puchti hai
Hum kaise btaye ki pyar karte hue bhi vo hamare na ho paaye
Vo raat mujhse pyar karne ka inaam puchti hai.

Sahil pe baithe khud ko dekh rahe hai dubte hue
Apne hi saamne dekh rahe hai sapno ko tuuthe hue
Itna majboor hai ki kuch nahi kar sakte apne pyar ke liye
Aankhon ke samne humne dekha apne pyar ko ruthte hue

Chaha bahut par tmse nafrat ho na pai,
Maanga bahut par tumsi ibaadat fir ho na pai
Hame pyar main mile itna dard ki,
Tumhari yaadon se karni chahi hamne bagavat par vo bhi hamse na ho pai

Sunday 28 August 2011

zindigi ki daud main khud se haar rahe hai,
Apne pyar ke liye, apne pyar se haar rahe hai
Zindigi ke is rang ko bhi dekhenge, ye kabhi soocha na tha.
Us pyar ko paane ke liye hum apne aap ko maar rahe hai.

Log kehte hai hum pagal hai aapke pyar main,
Vo samajhte nahi kitni pyar hai us pyar main
Hum kehte hai ek baar tum bhi pyar karke dekho
Fir pta chalega kitna quarar hai us pyar main

Apne aap se ladte ladte hum thaq gye hai
Apna pyaar dikhate dikhate hum thaq gYe hai
Yu patthar ke to na the tum hamse milne se pehle
Us patthar se sir takrte takrate hum thaq gye hai.

My Heartly Poems

Hello to all visitors, I am not a professional writer all these poems of mine I wrote for a special person of my life.

I didnt give names to any poems. If u like it please suggest some name.

Here goes my very first poem that I wrote for her.

When the first time I saw you,
You were like dew to me
The dew of love and hope,
To hold my life like a rope
The dew which is pure then anything
Ready to shower your love and healing.
All the love and the affection I was lean to,
I got, when the first time I saw you.

Those times you spent with me,
now I am missing it very badly.
all the things you ever told to me,
it will always make me happy.
your smile makes me feel alive,
from all the world, you realised me that I’ll survive.
all your love and blessing comes true,
when the first time I saw you.