Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Monday 18 August 2014

Mohabbat

tumblr_m6r4oaMPjg1ryjp15o1_500 

 

Mohabat kar kisise,
Ye dilo ke armaan badal deti hai,
Ho jaye saccha pyar jise,
Ye vo, insaan badal deti hai.

Wednesday 13 August 2014

Kyu Tha

Har shaqs mujhse anjaana kyu tha,

Vo kisi aur ka dewaana kyu tha,

Pyar main bhi karta tha use beshumaar,

Par usne mujhe thukrana kyu tha?

 

Vo beeta pal itna suhana kyu tha?

Har roz usne mujhe hasana kyu tha?

Pta tha use ki toot jaunga main,

Fir bhi jaate jaate use rulana kyu tha?

 

Meri chahat ka aaisa paimaana kyu tha?

Chota sa aashiya mera, toot jaana kyu tha?

Tanhai ka aalam aaisa hai mera, na pucho tum,

Ek mera mujhse se hi ruth jaana kyu tha?

Har shaqs mujhse anjaana kyu tha?

Sunday 3 August 2014

Main tha

Jab tere paas koi tha nahi, tab tere paas main tha,

Aaj mere paas koi bhi nahi, tu bhi nahi, mian bhi nahi.

Saturday 2 August 2014

Bachpan

Aaj fir mujhe sone do,

Mere bachpan ki yaado main, mujhe khone do,

Na thi kisi cheez ka darr, na thi koi fikar,

Mujhe vo zindigi ek baar fir jeene do,

Aaj fir mujhe sone do,

 

Har shakqs tha pyara mujhe, har pal khushiyo se bhara tha,

Na chinta thi koi kabhi, na koi kbhi besahara tha,

Aaj mujhe mere bachpan ke sapne main fir khone do,

Aaj fir mujhe sone do,

 

Dosto ke saath vo hasi ke pal guzaarna,

Kisi ke baat pe, yu ruth jaana,

Ek choti si baat se, fir jigri dost ban jaana,

Aur kisi bhi baat ko dil se na lagana,

fir mujhe mere bachpan se chup chaap milne do,

Aaj fir mujhe sone do,

Mere bachpan ki yaado man. fir mujhe khone do.   

Rehne do

Main uska gunhegaar hu, mujhe ab gunhegar hi rehne do,

Mera dil bekaraar hai, ise ab bekaraar hi rehne do,

Bewafai meri kismat ne ki mere saath, iska dosh use kyu du,

Meri raaho main ab intezaar hai, ise ab intezaar hi rehne do.

Main uska gunhegaar hu, mujhe gunhegaar hi rehne do.

 

Mera dil ab viraan hai, ise ab viraan hi rehne do,

mujh pe ik ilzaam hai, ise ab ilzaam hi rehne do,

Rula ke tujhe sukoon se main bhi na reh sakta hu kabhi,

Meri zindigi ek sawaal hai, ise ab sawaal hi rehne do.

Main uska gunhegaar hu, mujhe gunhegaar hi rehne do.

 

Ek bewafa ban gya hu main, ise ab bewafai hi rehne do,

Juda ho gya apne pyar se, ise ab judai hi rehne do,

Aj bhi tanhai hai iss zindigi main tere bina,

Iss tanhai to ab bas tanhai hi rehne do,

Main uska gunhegaar hu, mujhe gunhegaar hi rehne do.