Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Showing posts with label Poem. Show all posts
Showing posts with label Poem. Show all posts

Wednesday, 13 August 2014

Kyu Tha

Har shaqs mujhse anjaana kyu tha,

Vo kisi aur ka dewaana kyu tha,

Pyar main bhi karta tha use beshumaar,

Par usne mujhe thukrana kyu tha?

 

Vo beeta pal itna suhana kyu tha?

Har roz usne mujhe hasana kyu tha?

Pta tha use ki toot jaunga main,

Fir bhi jaate jaate use rulana kyu tha?

 

Meri chahat ka aaisa paimaana kyu tha?

Chota sa aashiya mera, toot jaana kyu tha?

Tanhai ka aalam aaisa hai mera, na pucho tum,

Ek mera mujhse se hi ruth jaana kyu tha?

Har shaqs mujhse anjaana kyu tha?

Sunday, 20 July 2014

Nahi Main

Hawa ka kahi koi jhoka to nahi main,

yaado ki ek saugaat to nahi main,

kisi ke liye pyar kabhi to,

kisi ke liye ek jazbaat to nahi main,

koi mujhe aashiq kehta hai, koi mujhe deewaana,

Koi mujhe paheli kehta, koi mujhe afsaana.

kisi ke dil ka kahi koi dhoka to nahi main,

hawa ka kahi koi jhoka to nahi main.

 

Kisi Ke liye kahi pagal to nahi main.

Ek dil ke liye kahi ghayal to nahi main,

Hasne ki wjaha kabhi nahi,

Aasun ka tere kaaraan to nahi main,

Aashaon ki bhujhti hui ek lau nahi par,

Ujda hua kisi ka, kahi koi aashiyana to nahi main,

chaha bahut pyar karna kisi ko,

Par uske layak, shayad nahi main.

Saturday, 14 June 2014

Mujhe Sone Do

Ek Aakhri baar mujhe sone do,
Uski yaado ki godd main ek baar aur khone do,
Jee nahi sake uske saath to kya hua,
Marne ke baad ek baar uska hone do.
Ek aakhri baar mujhe sone do.

Maine dekhe bahut the uske saath sapne,
Ki khushiya hongi bahut, daaman me apne,
Ek umeed main hi jaiye jaa rahe the,
Na ho tujhse juda, bas yehi dua kiye ja rahe the,
tere kabil kabhi the na hum, ye jaan gaye,
Aur ek baar mujhe jee bhar ke rone do,
Ek Aakhri baar mujhe sone do,

Aankhe rehti hai namm meri,
Dil main ek tufaan rehta hai,
jaane koi apna ab mujhse hi, yu anjaan kyu rehta hai,
ho jaati ye duriya kamm to jaan leti tum bhi ye,
tere bin ye dil ka aashiya, ab kitna viraan rehta hai

Thursday, 12 June 2014

Ehsaan

Mujhe khud pe ek ehsaan aur karne do,

Meri zindigi mujhe tere naam aur karne do,

Ab aur na chupa sakenge tere liye pyar iss dil main,

Mujhe Izhaar-E-Mohabbat khul-e-aam aur karne do.

 

Tere pyar main khud ko badnaam aur karne do,

Ek baar apna dil bhi mohbaat ke naam aur karne do,

Tere mohabaat ke kabil nahi main, ye sochna tera galat hai,

Ek baar mujhe bhi apni mohbaat sabbit aur karne do.

Monday, 9 June 2014

Kabil

Kisi ke pyar ke kabil nahi main,
Kisi ke iqraar ke kabil nahi main,
Har shaqs shayad muh mod leta hai mujhse isi liye shayad,
Ke kisi ke izhaar ke kabil nahi main.

Ek baar koshis ki hoti tune mujhe samajhne ki,
Ek baar mauka deti meri kismat, mujhe bhi pyar karne ki,
Rehta hu akelepan main aksar isi liye ke,
Ab Kisi mehfill ke kabil nahi main,

Ek baar kiya hota sawal tune bhi mujhse,
Ke mere pyar pe viswas ho jaata tujhe,
Yu khud ko durr kar liya tune mujhse,
Ek baar bol dete mujhe main khud juda ho jaata tujhse.

Jeena nahi aata

Har baar mujhe koi, chehra nahi bhaata,
Tere bina mujhe jeena nahi aata,
Tujh bin koi main,geet nahi gun gunaata,
Tere bina mujhe jeena nahi aata.

Har shaqs mujhse durr hai jaata,
Kyu mujhse koi vafa nahi nibhata,
Ab tu bhi mujhe hai saari raat rulata,
Tere bina mujhe, jeena nahi aata.

Tujhse hai koi mera, pichle janam ka naata,
Phir bhi kyu mere dil ko hai tu tadpata,
Tujh bin ab zindigi main hai ek sannaata,
Tere bina mujhe, jeena nahi aata.