Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Wednesday 27 November 2013

Pal

 

Pal Beeta, jazbaat beetey, beetey din aur saal,
Na beeta vo lamha mujhse na beetey uske khayal,

Na beeti uski pyari baatein, na beetey vo jazbaat,
Har pal maine maanga  bas ek uska hi saath.

Har baar sapno main hoti hai unse mulakat,
Ke Karte hai unse har baar apne dil ki baat.

Rom Rom mehka meri bas ek uski hi khusboo se,
Aai vo is duniya main bas mere liye, ek meri hi aarzoo se.

Har aarzoo main, har tamana main vo thi mere,
Har jazbaat main, har mulakaat main vo thi mere,

Par chahati kyu nahi vo mujhe, mera dil puche bas ek ye sawal,

Pal Beeta, jazbaat beetey, beetey din aur saal,
Na beeta vo lamha mujhse na beetey uske khayal,

Monday 25 November 2013

Beetey Pal

 

Us din hum tumhe fir se yaad aayenge,
kabhi Jab beetey pal satayange,

Jab Sitaare saare baadlo main chup jayenge,
Jab tanha raat koi geet fir se gun gunayenge,
Jab zehan main kuch sawal teek ke tarha chubh jayenge,
Jab bheed main bhi hum tujhe Tanha chod jayenge,

Us din hum tumhe fir se yaad aayenge,
kabhi Jab beetey pal satayange,

Keemtey the vo pal, jo bitaye maine tumhare saath,
yaad hai teri har hasi, har ek aansu ke baad,
Tere maasoom chahre ko kabhi na hum bhool payenge,

Us din hum tumhe fir se yaad aayenge,
kabhi Jab beetey pal satayange,

Dekhoge har aks main apne, mera hai aks ab to,
Teri har saans main aayegi khushboo meri hi ab to,
Saath nahi to kya, tere dil ke kisi kone main aaj bhi zinda hu main,
Ke iss saach ko jhooth kaise banayegi tu ab to,

Tadap dekh ke meri apne ashq tum rok na paoge,
Har waqt bas yehi sochne pe tum bhi majboor ho jaoge,
sahi the hum, jo tumhe itne yaad aayenge,
Ke kabhi Jab beetey pal satayange,

Saturday 9 November 2013

Guzra Zamana

 

Jab bhi vo guzra zamana yaad aata hai,

Tere saath hone ka nazraana yaad aata hai,

Aj bhi tujhe yaad karke aankhen namm ho jaati hai,

Ke pyar dekh ke, humein apna pyar yaad aata hai.

 

Andhere se humein abb pyar hai ,

Roshni se hota dil ye bekaraar hai,

Pyar karne ki saza kab tak milegi humein, iska illm nahi humein,

Par log dekh ke yehi kehte hai, kya isi ka naam pyar hai.

 

Tu nadi main tera kinara hu,

Tu umeed, main tera sahara hu,

Yu nazrein ferr ke na satao iss dil ko iss kadar,

Ke tu mera aasmaan, aur main tera Sitara hu.