Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Saturday, 26 July 2014

Darta nahi main

Darta nahi main marne se,

Darta hu tujhse bichadne se,

maut to aani hai ek baar,

Dar lagta hai tujhse bichad ke, roz marr marr ke jeene se.

Layak

Tera layak nahi main, ye sahi kehti hai tu,

Ye baat agar jhooth hoti, to aj mujhse tu duur na hoti.

Zamane

Koi hota mera bhi iss zamane main agar,

To yu meri raate, tanha aansuon main na guzarti.

Wednesday, 23 July 2014

Muskurahat

Kisi ki muskurahat se uski khushi ka andaaza na laga aye dost,

Ke Aksar, unki muskurahat gamo ko chupane ka ek zaria  maatr hua karti hai.

Tuesday, 22 July 2014

Kareeb

Kareeb mere the aj vo bahut,
Par har labzz maano hoton pe taher se gaye,
ankhein sirf use hi dekhti reh gai,
aur jazbaat mere ek baar fir sawar gaye.

Sunday, 20 July 2014

Nahi Main

Hawa ka kahi koi jhoka to nahi main,

yaado ki ek saugaat to nahi main,

kisi ke liye pyar kabhi to,

kisi ke liye ek jazbaat to nahi main,

koi mujhe aashiq kehta hai, koi mujhe deewaana,

Koi mujhe paheli kehta, koi mujhe afsaana.

kisi ke dil ka kahi koi dhoka to nahi main,

hawa ka kahi koi jhoka to nahi main.

 

Kisi Ke liye kahi pagal to nahi main.

Ek dil ke liye kahi ghayal to nahi main,

Hasne ki wjaha kabhi nahi,

Aasun ka tere kaaraan to nahi main,

Aashaon ki bhujhti hui ek lau nahi par,

Ujda hua kisi ka, kahi koi aashiyana to nahi main,

chaha bahut pyar karna kisi ko,

Par uske layak, shayad nahi main.

Tuesday, 15 July 2014

Shaqs

Har shaqs dhoondhta hai, mujh main kisi na kisi ko,

Iss kashma-kash main vo, mera hi vajood bhool baithe.

Sunday, 13 July 2014

Mere Bagair

Khush hai kahi tu mere bagair, ye jaanta hu mai,

Par mera haal bhi vahi hai, koi keh nahi sakta.

Saturday, 14 June 2014

Mujhe Sone Do

Ek Aakhri baar mujhe sone do,
Uski yaado ki godd main ek baar aur khone do,
Jee nahi sake uske saath to kya hua,
Marne ke baad ek baar uska hone do.
Ek aakhri baar mujhe sone do.

Maine dekhe bahut the uske saath sapne,
Ki khushiya hongi bahut, daaman me apne,
Ek umeed main hi jaiye jaa rahe the,
Na ho tujhse juda, bas yehi dua kiye ja rahe the,
tere kabil kabhi the na hum, ye jaan gaye,
Aur ek baar mujhe jee bhar ke rone do,
Ek Aakhri baar mujhe sone do,

Aankhe rehti hai namm meri,
Dil main ek tufaan rehta hai,
jaane koi apna ab mujhse hi, yu anjaan kyu rehta hai,
ho jaati ye duriya kamm to jaan leti tum bhi ye,
tere bin ye dil ka aashiya, ab kitna viraan rehta hai

Thursday, 12 June 2014

Kaash kabhi tum

Kaash kabhi tum meri hoti
Un tanha raato main,
mere ek saathi hoti,
Apne us muskaate chehre se,
Mujhse kuch apni baate karti,
Kaash tum kabhi meri hoti.

Un naazuk naazuk ungliyo se tum,
Fir mere baalo ko sehlaati,
Mera naam pyar se tum,
Ek baar fir bulaati.
Apne baaho ke haar kabhi fir tum,
Mere gale main daalti,
Kaash kabhi tum meri hoti.

Suladeti mujhe tum fir,
Mera sir sehlakar,
Fir meri palko ko,
Ek auur baar tum chuumti,
Kaash kabhi tum meri hoti.