Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Wednesday, 11 June 2014

Sota hu

Aankho main aasu, labo pe ek muskaan liye sota hu,
Apni aankhon main teri pehchaan liye sota hu,
Teri trha khushi ka dikhawa nahi kar sakta,
Har raat seene main ek armaan liye sota hu.

Har baar Teri yaad main rota hu main,
Jaane kyu tujhe pyar itna karta hu main,
There saath ne mujhe jeena sikha diya iss kadar,
Ke harr raat ab taaron ki Chao main sota hu main. 

Tuesday, 10 June 2014

Chupa li

Teri tasveer sab se chupa li maine,
Vo haseen pal aankhon main basa li maine,
Ek arsa hua tujhse bichde hue aaisa lagta hai,
Ke aj bhi khushboo tere saason ki, apne main sama li maine,

Nakli hasi apne hoton pe saja li maine,
Tere saare dukh chura li maine,
Bhool jao mujhe, par meri yaadon ko na bhoolna,
Ki un yaadon main ek aashiya bana li maine.

Monday, 9 June 2014

Kabil

Kisi ke pyar ke kabil nahi main,
Kisi ke iqraar ke kabil nahi main,
Har shaqs shayad muh mod leta hai mujhse isi liye shayad,
Ke kisi ke izhaar ke kabil nahi main.

Ek baar koshis ki hoti tune mujhe samajhne ki,
Ek baar mauka deti meri kismat, mujhe bhi pyar karne ki,
Rehta hu akelepan main aksar isi liye ke,
Ab Kisi mehfill ke kabil nahi main,

Ek baar kiya hota sawal tune bhi mujhse,
Ke mere pyar pe viswas ho jaata tujhe,
Yu khud ko durr kar liya tune mujhse,
Ek baar bol dete mujhe main khud juda ho jaata tujhse.

Jeena nahi aata

Har baar mujhe koi, chehra nahi bhaata,
Tere bina mujhe jeena nahi aata,
Tujh bin koi main,geet nahi gun gunaata,
Tere bina mujhe jeena nahi aata.

Har shaqs mujhse durr hai jaata,
Kyu mujhse koi vafa nahi nibhata,
Ab tu bhi mujhe hai saari raat rulata,
Tere bina mujhe, jeena nahi aata.

Tujhse hai koi mera, pichle janam ka naata,
Phir bhi kyu mere dil ko hai tu tadpata,
Tujh bin ab zindigi main hai ek sannaata,
Tere bina mujhe, jeena nahi aata.

Friday, 6 June 2014

Durr

Jaanta nahi ye main,

Par koi to wajha hogi teri, mujhse durr jane ki,

Ke bewjaha, saya kabhi jism se alag nahi hota.

Keemat

Chahate to paa lete tujhe kisi bhi keemat pe,
Par dilo ke maamle main, keemat nahi di jaati.

Thursday, 5 June 2014

Awara dil

girl-heart-love-sky-sweety-Favim.com-47333_large

Dhundhna ho agar mujhe to kahi khud main dhudhna,

Teri tarha main bhi ek, awara dil hu,

Rehta hu kisi aur jism main, dhadkta hu kisi aur ke liye.

Nafrat

Ye kismet bhi meri bewafa nikli aaisi,
Chale the tujhse muhabbat karne,
Aur ab bas teri nafrat ke kaabil banke reh gye.

Monday, 2 June 2014

Ek Beeta Hua Pal

Ek beeta hua pal hu main, mujhe guzar jaane do,

Tuuta hua ek khawab hu main, mujhe bikhar jaane do,

Maangta nahi tujhse main kuch aur, bas itna kehna hai,

Ek ek ruthi hui taqdeer hu main, mujhe sawarr jane do.

 

Ek pagal dil hu main, mujhe behal jaane do,

Ladkhadate se mere kadam, isse sambhal jaane do,

Teri yaad aur tere sapne, ab saathi hai mere,

Inki aagosh main mujhe, pighal jaane do,

 

Teri aankhon ka nasha aj, mujh pe chad jaane do,

Mere pyar ko hadd se aj, guzar jaane do,

Aasaan nahi mujh jaise tadap tadap ke jeena,

Ke mujhe maut ke baaho main lipatt jaane do,

Ek beeta hua pal hu main, mujhe guzar jaane do.

Thursday, 29 May 2014

Tu Mera Aashiyana

Ek panchi hu main, tu mera aashiyana,

Meri zindigi jeene ka tu hi ek bahana,

Hawa ke paro par tairtan tera ek nazrana

Teri sohbat se mehroom guzra hua ek zamana,

 

Jhuki nazar kehti hai, vo mujhse aj bhi pyar karti hai,

Kehti nahi mujhse vo, le aj bhi vo mujh pe marti hai,

Ek baar pukar lo mujhe fir ussi pyar se, ke khatam karo ab yu satana,

Ke Ek panchi hu main, tu mera aashiyana,

 

Darr lagta hai ki tujhe kahi durr na ho jau,

Iss zalim duniya ki aagoosh main, kahi na kho jau,

Ek baar to soch lo mere dil ke ye bhi jazbaat, ke bas karo mujhe yu rulana,

Ek panchi hu main, tu mera aashiyana,

Meri zindigi jeene ka tu hi ek bahana,