Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Monday 9 June 2014

Jeena nahi aata

Har baar mujhe koi, chehra nahi bhaata,
Tere bina mujhe jeena nahi aata,
Tujh bin koi main,geet nahi gun gunaata,
Tere bina mujhe jeena nahi aata.

Har shaqs mujhse durr hai jaata,
Kyu mujhse koi vafa nahi nibhata,
Ab tu bhi mujhe hai saari raat rulata,
Tere bina mujhe, jeena nahi aata.

Tujhse hai koi mera, pichle janam ka naata,
Phir bhi kyu mere dil ko hai tu tadpata,
Tujh bin ab zindigi main hai ek sannaata,
Tere bina mujhe, jeena nahi aata.

Friday 6 June 2014

Durr

Jaanta nahi ye main,

Par koi to wajha hogi teri, mujhse durr jane ki,

Ke bewjaha, saya kabhi jism se alag nahi hota.

Keemat

Chahate to paa lete tujhe kisi bhi keemat pe,
Par dilo ke maamle main, keemat nahi di jaati.

Thursday 5 June 2014

Awara dil

girl-heart-love-sky-sweety-Favim.com-47333_large

Dhundhna ho agar mujhe to kahi khud main dhudhna,

Teri tarha main bhi ek, awara dil hu,

Rehta hu kisi aur jism main, dhadkta hu kisi aur ke liye.

Nafrat

Ye kismet bhi meri bewafa nikli aaisi,
Chale the tujhse muhabbat karne,
Aur ab bas teri nafrat ke kaabil banke reh gye.

Monday 2 June 2014

Ek Beeta Hua Pal

Ek beeta hua pal hu main, mujhe guzar jaane do,

Tuuta hua ek khawab hu main, mujhe bikhar jaane do,

Maangta nahi tujhse main kuch aur, bas itna kehna hai,

Ek ek ruthi hui taqdeer hu main, mujhe sawarr jane do.

 

Ek pagal dil hu main, mujhe behal jaane do,

Ladkhadate se mere kadam, isse sambhal jaane do,

Teri yaad aur tere sapne, ab saathi hai mere,

Inki aagosh main mujhe, pighal jaane do,

 

Teri aankhon ka nasha aj, mujh pe chad jaane do,

Mere pyar ko hadd se aj, guzar jaane do,

Aasaan nahi mujh jaise tadap tadap ke jeena,

Ke mujhe maut ke baaho main lipatt jaane do,

Ek beeta hua pal hu main, mujhe guzar jaane do.

Thursday 29 May 2014

Tu Mera Aashiyana

Ek panchi hu main, tu mera aashiyana,

Meri zindigi jeene ka tu hi ek bahana,

Hawa ke paro par tairtan tera ek nazrana

Teri sohbat se mehroom guzra hua ek zamana,

 

Jhuki nazar kehti hai, vo mujhse aj bhi pyar karti hai,

Kehti nahi mujhse vo, le aj bhi vo mujh pe marti hai,

Ek baar pukar lo mujhe fir ussi pyar se, ke khatam karo ab yu satana,

Ke Ek panchi hu main, tu mera aashiyana,

 

Darr lagta hai ki tujhe kahi durr na ho jau,

Iss zalim duniya ki aagoosh main, kahi na kho jau,

Ek baar to soch lo mere dil ke ye bhi jazbaat, ke bas karo mujhe yu rulana,

Ek panchi hu main, tu mera aashiyana,

Meri zindigi jeene ka tu hi ek bahana,

Mujhe Koi naam na do

Ek gumnaam chehra hu main, mujhe koi naam na do,

Tanhai ka mere, mujhe ilzaam na do,

Ek baadal hu main, guzar jaunga tere zindigi se,

Ke unn chand palo ke, mujhe koi inaam na do.

Ek gumnaam chehra hu main, mujhe koi naam na do



Kuch palo ka vajood hai mera, ke mujh pe koi dhayan na do,

Tanha chalna naseeb hai mera, ke mujhe koi pehchaan na do,

Ho sake to do pal taher jao mere liye bhi,

Par iss raah pe chalne ka mujhe koi paigaam na do.

Ek gumnaam chehra hu main, mujhe koi naam na do,



Dil main bechaini mere, aj kuch zayada si hai,

Aankhon main nami mere, aj kuch zayada si hai,

Gumnaami ka aadi ho gya hu main, mujhe koi ehsaan na do,

Ek gumnaam chehra hu main, mujhe koi naam na do,

Tanhai ka mere, mujhe ilzaam na do.

Monday 26 May 2014

Ye janti nahi tu

Tujh bin kitna akela hu, ye jaanti nahi tu,

Meri har ek saans main hai, ye jaanti nahi tu,

Teri zindigi main udaasi ho mere kaaran, ye gawara nahi mujhe,

bas isi liye khamoshi se laut gya gumnaam andhero main, ye jaanti nahi tu.

 

Ho sakta hai galtiya ki ho maine bhi bhaut, ye maan leta hu main,

Jaane anjane todd diya ho dil tera, ye maan leta hu main,

Tujhse milna ek sabse haseen chez thi meri zindingi ki,

Ye tohfa main sambhal na paaya, ye maan leta hu main.

 

Har ek pal, har ek lamha yaad aate hai mujhe,

Ek akelapan reh gya hai iss zindigi main, jo sataata hai mujhe,

ye kabhi na sochna tu ki tere se juda reh paunga main,

jaanti ye tu bhi hai ki, tere dil ke kareeb hi reh jaunga main,

Sunday 25 May 2014

Teri Galat Fehmi

Tujhse koi sar-o-kaar nahi mera, ye teri galat fehmi hai,

Tujhe na koi jazbaat juda, ye teri galt fehmi hai,

Marne se darte nahi hum bas jeene ka khauf hai,

Ke tere bina kabhi jee lenge hum, ye sochna bhi, teri galat fehmi hai.

 

Har ek aansu ki boond teri, meri dil pe ek ghaav chod jati hai,

Tera sisak-sisak ke rona, har ek umeed tod jati hai,

Ye jaan ke bhi, ke tera pyar mere liye nahi tha kabhi,

Tujhe pyar karna chod dunga main, ye teri galt fehmi hai,

 

Apna dil dikha sakta tujhe to dikha deta,

Teri iss galat fehmi ko bhi zarur mita deta,

Bas saason ki dor kab tak saath denge, ye pta nahi mujhe,

Par marne ke baad bhi tujhe akela chod jau, ye teri galat fehmi hai.