Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Thursday 15 June 2023

Hum teri or kheechen chalen aaate hain

ye lab tere bheege hue se kya qahar dhaate hain,
hum bas tujhe dekh k hi bemaut mar jaate hain,
chaahte hain khud ko sambhaale hum, roke khud ko,
par har baar hum is dil k haathon majboor o jaate hain,


kehte hain khud ko ye pyaar nahi kuch pal ka saath hai,
par har baar jaane kyun teri or khinche chale aate hain,
chhoone ko hum tere honthon ki narmi apne hothon se,
har har baar tujhse duur jaate jaate thahar jaate hain,


hum ye nahi kehte ki mohabbat buri cheez hoti hai,
par hum apne dil k fir se tut jaane se ghabraate hain,
yakeen hain tujhpe humein, teri mohabbat pe bhi,
aur hum dheere dheere tere aur kareeb aa jaate hain...

Khwaab

 bahut khoobsurat se ban jaate hain ye khwaab,

tanhaayi me saath nibhaaate hain ye khwaab,

lagta hi nahi ki hum tumse kabhi miley hi nahi,

bin mile hi mila dete hain tumse hume ye khwaab,


har shaam intezaar rehta hai humein bhi raat ka,

yakeen hain ki koi sajaane aayega hamaare khwaab,

tanha bistar pe pade karte hain intezaar neend ka,

haqeeqat se pyaare lagte hain aajkal ye khwaab,


kuch to khaas hai in nasheeli raaton me o jaana,

ki tumhaare saath ka ehsaas dilaate hain ye khwaab,

hum chaahte hain ki so jaaayen umra bhar k liye,

agar tum yunhi sajaate raho har pal hamaare khwaab,


haan ye khwaab nahi tumhaara saath hai meri jana,

haan ye khwaab nahi tumhaara pyaar hai meri jana,

khwaab to ek bahaana hai tumhaare saath ka,

tumhara pyaar hi to meri zindagi hai meri jaana....

Thursday 11 January 2018

Hoke Mera na kabhi tu mera ho paya,
Na hokar bhi tera, main kisi aur ka na ho paya. 

Monday 28 August 2017

लम्हे

तुम थे तो जिंदिगी थी,
अब तो बस कुछ सांसें चलती है,
कुछ लम्हे बिताने को.

Thursday 18 February 2016

Hunar

Koi Mujhe bhi sikha de ye pyar karne ka hunar,
Ke har baar ye dil toote mera, mujhe accha nahi lagta.

Monday 18 August 2014

Mohabbat

tumblr_m6r4oaMPjg1ryjp15o1_500 

 

Mohabat kar kisise,
Ye dilo ke armaan badal deti hai,
Ho jaye saccha pyar jise,
Ye vo, insaan badal deti hai.

Wednesday 13 August 2014

Kyu Tha

Har shaqs mujhse anjaana kyu tha,

Vo kisi aur ka dewaana kyu tha,

Pyar main bhi karta tha use beshumaar,

Par usne mujhe thukrana kyu tha?

 

Vo beeta pal itna suhana kyu tha?

Har roz usne mujhe hasana kyu tha?

Pta tha use ki toot jaunga main,

Fir bhi jaate jaate use rulana kyu tha?

 

Meri chahat ka aaisa paimaana kyu tha?

Chota sa aashiya mera, toot jaana kyu tha?

Tanhai ka aalam aaisa hai mera, na pucho tum,

Ek mera mujhse se hi ruth jaana kyu tha?

Har shaqs mujhse anjaana kyu tha?

Sunday 3 August 2014

Main tha

Jab tere paas koi tha nahi, tab tere paas main tha,

Aaj mere paas koi bhi nahi, tu bhi nahi, mian bhi nahi.

Saturday 2 August 2014

Bachpan

Aaj fir mujhe sone do,

Mere bachpan ki yaado main, mujhe khone do,

Na thi kisi cheez ka darr, na thi koi fikar,

Mujhe vo zindigi ek baar fir jeene do,

Aaj fir mujhe sone do,

 

Har shakqs tha pyara mujhe, har pal khushiyo se bhara tha,

Na chinta thi koi kabhi, na koi kbhi besahara tha,

Aaj mujhe mere bachpan ke sapne main fir khone do,

Aaj fir mujhe sone do,

 

Dosto ke saath vo hasi ke pal guzaarna,

Kisi ke baat pe, yu ruth jaana,

Ek choti si baat se, fir jigri dost ban jaana,

Aur kisi bhi baat ko dil se na lagana,

fir mujhe mere bachpan se chup chaap milne do,

Aaj fir mujhe sone do,

Mere bachpan ki yaado man. fir mujhe khone do.   

Rehne do

Main uska gunhegaar hu, mujhe ab gunhegar hi rehne do,

Mera dil bekaraar hai, ise ab bekaraar hi rehne do,

Bewafai meri kismat ne ki mere saath, iska dosh use kyu du,

Meri raaho main ab intezaar hai, ise ab intezaar hi rehne do.

Main uska gunhegaar hu, mujhe gunhegaar hi rehne do.

 

Mera dil ab viraan hai, ise ab viraan hi rehne do,

mujh pe ik ilzaam hai, ise ab ilzaam hi rehne do,

Rula ke tujhe sukoon se main bhi na reh sakta hu kabhi,

Meri zindigi ek sawaal hai, ise ab sawaal hi rehne do.

Main uska gunhegaar hu, mujhe gunhegaar hi rehne do.

 

Ek bewafa ban gya hu main, ise ab bewafai hi rehne do,

Juda ho gya apne pyar se, ise ab judai hi rehne do,

Aj bhi tanhai hai iss zindigi main tere bina,

Iss tanhai to ab bas tanhai hi rehne do,

Main uska gunhegaar hu, mujhe gunhegaar hi rehne do.