Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Friday 19 April 2013

Dil karta hai

Tujhse pyar jatane ka dil krta hai,
Tujhe apna banane ka dil karta hai,
Dard hai zindigi main bahut,
Par tere pyar main dil jalane ka dil karta hai.

Tere gum churane ka dil karta hai,
Tujhe hasane ka dil karta hai,
Jeene ke mayne hai zindigi main magar,
Tere khushiyo ke liye khud ko mitane ka dil karta hai.

Tere labon pe hasi sajane ka dil karta hai,
Tujhe bahoon main samane ka dil karta hai,
Manzilein bahut hai in raaho ke,
Par tujhe ek manzil banane ko dil karta hai.

Tujhe apna banane ko dil karta hai.

Thursday 18 April 2013

Khush naseeb

Kuch log hote hai khush naseeb itne,
Ke pyar milta hai unhe isi zindigi main,
Aur kuch hote hai badd naseeb itne,
Ki tnha chalna padta hai unhe isi zindigi main.

Tanhai ki baat na karna vo to ek sathi hai apna,
Jab tak jiyenge saath nibhayega apna,
roge tum hamare liye ek din,
Ki maut bhi to ek saathi hai apna.

aankhon main nami na hogi mere,
Ke dil tutne pe ab dard nahi hota,
Dard iss baat ka hota hai kai baar
ki todne ke liye Seene main do dil kyu nai hota...

Monday 3 December 2012

Ek aakhri baar

Ek aakhri baar ye geet ga raha hu,
Ek aakhri baar ye sur gun guna raha hu,
Ek aakhri baar teri yaad main aasu baha raha hu,
Ek aakhri baar, ek aakhri baar..

Ek aakhri baar tujhse apna gum chupa raha hu,
Ek aakhri baar tujhe fir rula raha hu,
Ek aakhri baar ye pyar fir jata raha hu,
Ek aakhri baar, ek aakhri baar..

Ek aakhri baar tera vada todd raha hu,
Ek aakri baar tujhe akela chodd raha hu,
Ek aakhri baar tujhe fil gale se laga raha hu,
Ek aakhri baar, ek aakhri baar.

Wednesday 28 November 2012

Ye Shikayat

Kare bhi to ye shikayat kis se kare,
Apne pyar ke liye bagawat kis se kare,
hamara pyar hi hamein apna nahi maanta,
fir chahate hue bhi ye shikayat kis se kare.

Kinare se takra kar tairna hum seekh rahe hai,
tumhare pyar main doob ke, ubarna hum seekh rahe hai,
Zindigi ke itne gumm sehne ke baad bhi,
gir kar hum sanbhalna hum seekh rahe hai.

Lehro se pyar itna hai ki humne kinarey chodd diye,
Tumpe aaitbaar itna hai ki humne saare vaada tod diye,
Tere pyar ke lehro main hum khona chahate hai iss kadar,
Ki lehro main duubne ke ab irrade humne chodd diye.
Kare bhi to ye shikayat kis se kare, Apne pyar ke liye bagawat kis se kare, hamara pyar hi hamein apna nahi maanta, fir chahate hue bhi ye shikayat kis se kare. Kinare se takra kar tairna hum seekh rahe hai, tumhare pyar main doob ke, ubarna hum seekh rahe hai, Zindigi ke itne gumm sehne ke baad bhi, gir kar hum sanbhalna hum seekh rahe hai. Lehro se pyar itna hai ki humne kinarey chodd diye, Tumpe aaitbaar itna hai ki humne saare vaada tod diye, Tere pyar ke lehro main hum khona chahate hai iss kadar, Ki lehro main duubne ke ab irrade humne chodd diye.

Read more at: http://www.yoindia.com/shayariadab/sha-poetry-of-pain/ye-shikayat-t98136.0.html;new;topicseen#new
Copyright � respective author unless specified

Saturday 17 November 2012

Akele chala ja raha hu

Ye jante hue bhi ki tujhe pana kismat nahi meri,
Fir bhi teri umeed main jiye ja raha hu,
Na socha tha ki in raho pe bhi chalenge hum,
Fir bhi Anjani raho pe yu akele chala ja raha hu.

Na koi saathi na koi manzil intazaar main,
Na mera saagar na koi sahil intazaar main,
Bas ik kashish si dil main liye aage badhe ja raha hu,
Fir bhi Anjani raho pe yu akele chala ja raha hu.

Jaanti tum bhi ho ye ki, na kat payenge ye raaste hamare bgair,
Har ek baat yaad satayegi tujhe mere bagair,
Par us din tu apne ko aur bhi akela paayegi,
Mere aks se bhi jab tu juda ho jayegi,
Tujhe pyar karne ki saza main ab tak paa raha hu,
Fir bhi Anjani raho pe yu akele chala ja raha hu.

Monday 12 November 2012

Bhool na paye

Jazbatein thi iss dil main is kadar ki vo kbhi samajh na paye tum,
Jab dil ki baat btai to use kabool na kar paye tum,
Ab pyar ke vo mayne kho diye humne ki kaise kahe tumse,
Par aj bhi vo yaadein hai us dil main jise bhool na paye tum.

Monday 29 October 2012

Aankhon main ek nami si kyon hai

Shaam se aankhon main ek nami si kyon hai,
Aj jaana hmari zindigi main teri kami si kyon hai,
Kabhi chamkti thi jo aankhen teri muskurahat dekh ke,
Vo aankh aaj aakhir thami si kyon hai,
Shaam se aankhon main ek nami si kyon hai,

Ye dil na lagate to ye tuutta bhi nahi,
Jo haath thaama tha vo chutta bhi nahi,
Bas yuhi ab to ek ek lamha teri yadon sang jiyenge,
Par ye nigahe darwaze pe yu jami si kyon hai,
Shaam ko aakhon main ek nami si kyon hai,

Tammana chu gai teri, mere dil ko iss kadar ,
na rhi tere bina zamane ki koi khabar,
bas sochte rehte hai har waqt tere bina yu bematlab si kyon hai,
Shaam ko aakhon main ek nami si kyon hai,

Friday 27 July 2012

Teri judai main

Teri Judai main yu aansu bahate rehte hai,
umeed ke diye aandhiyon se bachaye rehte hai,
chahat hai kewal tujhse pyar paane ki,
iss chahat ko hi ek aas banaye rehte hai.

Zindiagi ke zehar ko yu has ke pi rahe hai,
Tere pyar bina yu hi zindigi jee rahe hai,
akele pan se ab darr nahi lagta hamein,
Tere jaane ke baad hu yu hi akele jee rahe hai.

Tumse Pyar karke humne koi galti nahi ki,
Jis kasoor ki saza hum bhugat rahein hai, vo kasoor humne nahi ki,
Chahe to jaan maang lo, hum vo bhi de denge khushi khushi,
Par Tumhe aansu dene ki galti humne nahi ki.

Saturday 14 July 2012

Raaho pe

Jin raaho ko choda tha kabhi aj unhi pe chal pade hum,
Jis pyar se darthe the vo pyar tumse kar chale hum,
Kisi aur ko na chaha tha kabhi humne yu,
Ki ab to chahat ki har dewaar paar kar chale hum.

Jee lete do pal khushiyon ke saath hum bhi,
Ek sahara jo tera ho jaata,
Na dubte iss gum ke samandar main teri yaadon ko lekar,
Ek kinara jo tera ho jata.

Na koi sangi na koi saathi reh gya inn raaho pe,
Bas ek dhundhli si umeed hai, in bejaan si aankhon main,
Kehte hai aankhen kabhi jhoot nahi bolti,
Fir kyon nahi dekh paye tm vo pyar hamari inn annkhon main.

Zindigi ki kitaab main ek panna hamara bhi hoga,
Kabhi palat ke dekhoge to ek kinara hamara bhi hoga,
Ro lena kabhi jo jee chahe hamein yaad karke,
Par yad rakhna kabhi pyar ke saath zikar hamara bhi hoga.

Wednesday 6 June 2012

Teri khushi

Kabhi teri aankhon main vo pyar dekha tha humne,
Jis dil ko chahte the dil-e bekarar dekha tha humne,
Jis ke liye jee rahe the ye zindigi ab tak,
Vo aaitbaar dekha tha humne.

Kabhi teri uss hasi ko chaha humne,
Kabhi teri us khushi ko chaha humne,
Ab to sirf samay ke jhrokhon se jhaakti hai vo yaadein,
Ab tmhe sirf un yaadon main  hi chaha humne.

Chahatein yu dard ban jayegi nahi socha tha kabhi humne,
Pyar ki buniyad ek shart ban jayegi, kabhi socha na tha humne,
Pyar kiya tha tmse, aur tmhise karte rahenge,
Par ye pyar ek marz ban jayega kabhi socha na tha humne.

Kehte hai kisi ko dil se pyar karo to vo zaroor milta hai tmhe,
Dil pe haath rakhke loge uska naam to vo zaroor sunta hai tmhe,
Dil ki awaz sunkar ye bhi kiya tmhare liye,
Us ke baad bhi ek toote dil ke siva kuch aur na paya humne.