Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Monday 19 December 2011

Intazaar


Us din se aankhon main tera hi intazaar liye baithe hai,
Jab se jana pyar kya hai, dil main tere liye ye pyar liye baithe hai,
Teri khushboo aaj bhi in saason main ghuli hui hai,
Aur aaj bhi andhere main, umeed ka ek diya jalaye baithe hai.


Aaena dekhu to tm hi nazar aate ho,
In nazaro se dil main tm hi samate ho,
Koshish ki iss dil ko samjhane ki kai baar,
Par dil ki har dhadkan ke saath tm hi nazar aate ho.


Pyar karne ki itni badi saza hame na do,
Bin gunah ke ye intazaar hame na do,
Chaho to jaan hamari le lo,
Par ye zindigi bhar ka gam hame na do.


Iss dard se to ab pyar hone laga hai,
Reh reh ke ye dil bekarar hone laga hai,
Ab to aankhon main tere hi sapne rehte hai,
Tujhe bhulne ki baat to dur, ab to tujhse aur pyar hone laga hai.

Sunday 4 December 2011

Taqdeer


Taqdeer ne raaste main yu akela chod diya,
jo saath the sabne yu muh mod liya,
vada apna kabhi humne nahi toda,
Aapne hamesh hamare vaade ko, tuta hua maan liya.

Aapse dur rehke aaj bhi hum ye dard seh rahe hai,
pyar tumse karne ka abhi bhi ye gunaah kar rahe hai,
Bhul nahi sakte kabhi aapko, nahi to kab ka bhula dete,
kyon ki tmhe bhulane ki hum koshish bhi nahi kar rahe hai.

Ye jante hua bhi ki aap kabhi hamare nahi ho sakte,
Iss duniya ki  bheed main ye jazbaat kabhi nahi kho sakte,
Fir bhi zindigi hum isi tarah jiye ja rahe hai, tumse pyar kiye ja rahe hai
Koi aansu pochne vala bhi nahi, In aasuon ko apne aap hi piye ja rahe hai.

Friday 2 December 2011

Laal jode main

Aaj dulhan ke laal jode mein use uski sakhiyon ne sajaya hoga,
Meri Jaan ke gore haathon pe mehndi ko lagaya hoga.

Bahot gehra chadha hoga mehndi ka rang, Us mehndi mein usne mera naam chupaya hoga.
Reh-reh ke ro padi hogi, jab usko mera khayaal aaya hoga.

Khud ko dekha hoga jab aaine mein, to aqs mera bhi nazar aaya hoga.
Bahut pyari lag rahi hogi vo, Aaj dekh kar usko chand bi sharmaya hoga.

Aaj meri jaan ne apne Maa Baap ki izzat ko bachaya hoga, Usne Beti hone ka har farz nibhaya hoga..
Majbur hogi wo sabse zyada, Sochta hun kis tarah usne khud ko samjhaya hoga.

Apne haathon se hamare khaton ko jalaya hoga, Khud ko mazbut bana kar meri yaadon ko mitaya hoga.
Bhukhi hogi wo jaanta hun main, Mere bina usne kuch na khaya hoga.

Kaise sambhala hoga khud ko, Jab usne feron mein khud ko jalaya hoga...

Wednesday 30 November 2011

Raat aankhon

Raat aankho main kat gai teri yaadon main,
Dil de diya humne aapke haathon main,
Zindigi ki ab koi chahat nahi
Ab to dumm nikle to bas aapki baahon main.

Chaha hai tmhe poore junoon se,chahat hai hamari rahe aap pure sukoon se,
Kadar hai hamein aapke jazbaaton ki,
Par chahate hum yehi hai ki, viswass kare aap hum pe poore yakeen se.

Apni muskurahat ke peeche apne gum na chupaya karo,
Ye dikha ke ki aap gum main bhi khush ho, hamein itna mat staya karo,
Aapke har gum samajh skte hai hum duur se bhi,
Yu jhooth bol ke hame na yu rulaya karo.

Friday 25 November 2011

Nishani


Iss dard ko hamne dard na samjha ye to ek nishaani hai,
Hamari zindigi ki adhuri yehi bas ek kahani hai,
Ye aankhein aaj bhi tere liye rooti hai,
Aur tera aj bhi yehi samjhna, ki ye aansu nahi pani hai.


Pyar ke jazbaaton ka saara khel yehi hai,
Hamare pyar ka kisi se mel nahi hai,
Un palon ki nishaniyon ko humne aaj bhi saja ke rakha hai,
Ye nishaniya hamare liye ek duniya hai, koi khel nahi hai.


Tanhai ki aagosh ain baithe hai chup chaap se,
Chahat hi nibhate rahe kewl aap se,
Ab to zindigi kis raah pe le jayegi kuch khabar nahi,
Baas itna pta hai ki vaha bhi yu hi rahenge ek zinda laash se.

Tuesday 22 November 2011

Kabhi

Kabhi to tmhe hamari baaton pe aitbar hoga,
Uss din aapko fir se humse pyar hoga,
Chahe jitna chupa lo apne aap se ye jazbaat
Ye dard tmhe us din samajh aayega jis din apne aap se iss pyar ka izhaar hoga.

Tujhe bhulne ke baad bhi ye dil tmhe bhula na paya,
Tere patthar jaise dil ko ye pyar se pighla na paya,
In aankhon main sirf tere hi sapne base hai,
Par chahate hue bhi in aankhon ko main rula na paya.

Samandar main moti jaise chupaya hamne apne pyar ko,
Laakh koshis ki na khone ki tere aaitbar ko,
Hamara pyar aapke liye kabhi kam na honge
Ab to bas dua hai ye rab se, ki kabhi aap bhi samjhe hamare inn jazbaat ko.

Monday 21 November 2011

Ikrar

hamse puchoge to ye ikrar hum karenge,
Zindigi bhar ab to pyar tmhe karenge,
Tmhara jazbaton ka to hame  nahi pta,
Par itna zaroor kahenge, ab is zindigi bhar izhaar kewal tmse hi karenge.

Rab se dua thi ki aap sa koi is suni zindigi main aaye,
Iss sukhi si zindigi main kuch haryali si aaye,
Tm aaye to is zindigi main baahar aayi,
Yu laga mano jalti zameen pe aap barish ki nanhi boond si aaye.

Kabhi sochoge un khusiyon ke pal to hm yaad aayenge,
Kabhi dekhoge aaeina to hamare gum yaad aayenge,
Tmse durr hoke bhi hamesha tmhare paas rahenge,
Kabhi zindigi main ek baar awaz de ke dekhna, tmhari parchai ke saath kewal hum hi khade nazar aayenge.

Sunday 30 October 2011

Ye saza

Tumse pyar karne ki ye saza hamne pai,
Tum hamse dur ho gai, aur ye aankh bhar aai,
Kabhi to ek baar muud ke hame dekhoge ge is zindigi ki raahon main,
To hum soochenge ki, Kabhi to aapko bhi hamari yaad aai.

Kabhi kabhi lagta hai ki hum tum se itna pyar kyon karte hai,
Kabhi yu lagta hai ki hum ye dil bekarar kyon karte hai,
Par pta nahi iss sawal ka jawaab kabhi milega ya nahi hame,
Bas itna jaante hai ki kewal aapse hi hum pyar karte hai.

Chahat ke samandar mai akele ek kinara dhundhne nikle hum,
Tere pyar ke sahare vo ishaara dhundne nikle hum
Beech raaste main tmhe kho diya apne aapse,
Ab In raaston pe tumsa ek sahara dhundhne nikle hum.



Tuesday 11 October 2011

Apne jazbaato ko hum chupa na sake,
Tere dard ko kabhi apna bna na sake,
Raaste ki shuruaat main hi hum se yu dur hue tum,
Ki duniya ko bhi apna dard dikha na sake.

Tere pyar ke saath zindigi jeene ke armaan, armaan hi reh gaye,
akele jee rahe hai tere bina, bas yehi hamari pehchaan reh gai
kabhi tere saath chale the un khusiyon ki raahon pe,
Ab un raahon pe bas tere kadmon ke nishaan reh gaye

Tera pyar paane ki aarzoo aj bhi iss dil main baaki hai,
Tere chahat ki juust ju aaj bhi is dil main baaki hai,
Aaisa lagta hai muddat ho gai tmhe dekhe hue,
Par dekha to aaj bhi teri tasveer is dil main baaki hai.

Thursday 6 October 2011

Tmhare Bina


Hamari chahat se yu muh na modo,
Iss anjaan duniya main hame akela na chodo,
De sakte hai tmhare liye apni jaan, ek baar maang ke to dekho,
Par iss tarah pyar bhara hamara dil na todo.

Aapne hamein itna anjaan bana diya,
Apne dil-o- dimaag se hame nikaal diya,
Tmhaare jaane ke baad hum kewal jee rahe hai, dusro ke saamne
Ab to aaisa lagta hai, kisi ne seene se dil hi nikaal diya.

Zindigi fir se anjaan ho gai tmhaare bina,
Hamare pyar ki vo pehchaan kho gai tmhare bina,
Kabhi hamaari zindigi main bhi jhaak kar dekho kitne akele reh gaye hai hum,
Ye akelapan hi ab hamari pehchaan ban gai ha tmhare bina.