Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Friday, 27 July 2012

Teri judai main

Teri Judai main yu aansu bahate rehte hai,
umeed ke diye aandhiyon se bachaye rehte hai,
chahat hai kewal tujhse pyar paane ki,
iss chahat ko hi ek aas banaye rehte hai.

Zindiagi ke zehar ko yu has ke pi rahe hai,
Tere pyar bina yu hi zindigi jee rahe hai,
akele pan se ab darr nahi lagta hamein,
Tere jaane ke baad hu yu hi akele jee rahe hai.

Tumse Pyar karke humne koi galti nahi ki,
Jis kasoor ki saza hum bhugat rahein hai, vo kasoor humne nahi ki,
Chahe to jaan maang lo, hum vo bhi de denge khushi khushi,
Par Tumhe aansu dene ki galti humne nahi ki.

Saturday, 14 July 2012

Raaho pe

Jin raaho ko choda tha kabhi aj unhi pe chal pade hum,
Jis pyar se darthe the vo pyar tumse kar chale hum,
Kisi aur ko na chaha tha kabhi humne yu,
Ki ab to chahat ki har dewaar paar kar chale hum.

Jee lete do pal khushiyon ke saath hum bhi,
Ek sahara jo tera ho jaata,
Na dubte iss gum ke samandar main teri yaadon ko lekar,
Ek kinara jo tera ho jata.

Na koi sangi na koi saathi reh gya inn raaho pe,
Bas ek dhundhli si umeed hai, in bejaan si aankhon main,
Kehte hai aankhen kabhi jhoot nahi bolti,
Fir kyon nahi dekh paye tm vo pyar hamari inn annkhon main.

Zindigi ki kitaab main ek panna hamara bhi hoga,
Kabhi palat ke dekhoge to ek kinara hamara bhi hoga,
Ro lena kabhi jo jee chahe hamein yaad karke,
Par yad rakhna kabhi pyar ke saath zikar hamara bhi hoga.

Wednesday, 6 June 2012

Teri khushi

Kabhi teri aankhon main vo pyar dekha tha humne,
Jis dil ko chahte the dil-e bekarar dekha tha humne,
Jis ke liye jee rahe the ye zindigi ab tak,
Vo aaitbaar dekha tha humne.

Kabhi teri uss hasi ko chaha humne,
Kabhi teri us khushi ko chaha humne,
Ab to sirf samay ke jhrokhon se jhaakti hai vo yaadein,
Ab tmhe sirf un yaadon main  hi chaha humne.

Chahatein yu dard ban jayegi nahi socha tha kabhi humne,
Pyar ki buniyad ek shart ban jayegi, kabhi socha na tha humne,
Pyar kiya tha tmse, aur tmhise karte rahenge,
Par ye pyar ek marz ban jayega kabhi socha na tha humne.

Kehte hai kisi ko dil se pyar karo to vo zaroor milta hai tmhe,
Dil pe haath rakhke loge uska naam to vo zaroor sunta hai tmhe,
Dil ki awaz sunkar ye bhi kiya tmhare liye,
Us ke baad bhi ek toote dil ke siva kuch aur na paya humne.

Wednesday, 16 May 2012

Teri hasi

Teri hasi, teri baatein yaad aati hai,
vo meethi mulakatein yaad aati hai,
Teri yaad hamein yu tadpati hai  kya kahe tum se,
Jaise jal bin machli ko paani yaad aati hai,

Tumhe dekhe hue mano ek zamana beet gya,
Zindigi se maano ek nazrana beet gya,
Tumhare saath bitaye palon ko yaad karke muskura lete hai,
Nahi to hamein muskuraye hue to ek aarsa beet gya hai.

Pyar ki koi hadd hamne nahi dekhi, bas tumhe pyar kiya hai,
Tumhari baaton main sacchai kabhi na dhundhi, bas aaitbar kiya hai,
Ab Kisi aur ko dil yu pyar nahi kar sakta ye jaan lo tum,
Pyar kewal ek baar hota hai, vo bhi humne tumse kiya hai.

Tuesday, 15 May 2012

Tumhari Tasveer

Tumhari Tasveer sabse chupa rakhi hai,
Apni aankhon main aapki yaad saja rakhi hai,
AAnkhen band karne pe kewal tum hi nazar aate ho,
Aapki unhi yaadon ko apni aas bna rakhi hai.

Hamara pyar koi kagaz ka phool nahi hai,
Tmse pyar kiya ye hamari koi bhool nahi hai,
Pyar ek ehsaas hai jise har koi samajh nahi sakta,
Kyonki iss pyar ka apna koi usool nahi hai.

Apse pyar karke koi gunah hamne nhi kiya,
Aaj tak hamne kabhi pyar ki chaao main panah nahi liya,
Jis din se chaha hai humne dilo jaan se tumhe,
Us din se kabhi humne apna aashiyan nahi liya. 

Thursday, 10 May 2012

Adhoori si

Zindigi to jee rahe hai, par kuch adhoori si,
Dil main dard aur hoton pe hasi, vo bhi kuch adhoori si,
Kabhi jeete the unke saath vo khushi ke pal jo,
Un palon ki ab yaadein reh gai, vo bhi adhoori si.

Simatt sa gya tha mera vo jahan tere aas paas is kadar,
Ki na khudki na thi jahan ki koi khabar,
Ab to saara jahan hi lagta hai anjaana sa ho gya mano,
Aur Meri saasein bhi chal rahi ho, vo bhi kuch adhoori si.

Vo lamhe to tmhare saath bitaye vo na bhool sakenge kabhi,
Ab to lagta hai, vo pal na jee sakenge fir kabhi,
Bas unki yadein sameet ke rakh liya hai iss dil main is kadar,
Ki Jab bhi yaad karu iss to lagta hai gum hai zindigi main, par vo bhi kahi adhoori hai.

Thursday, 12 April 2012

Zindigi Ek Juaa


Pucho to zindigi ek juua hai,

kabhi badal to kabhi dhua hai,
kabhi umeed ki ek dua hai,

kabhi nazdeekiyon ki ek dor hai,
kabhi khamoshiyon ka shor hai,

kabhi pyar ki ek leher hai,
kabhi akelepan ki ek sehar hai,

kabhi ek naye rishtay ki saugaat ha,
kabhi toote ek dil ki fariyaad hai,

Kabhi ye pyar karne ki ek vajah hai,
Kabhi ye ek nasamjhi ki saza hai

kabhi josh ek junoon hai,
kabhi apno ke paas hone ka sakoon hai,

kabhi gum ka sagar hai,
Kabhi khushiyon ka ambaar hai,

Pucho to zindigi ek juua hai,
Kabhi badal to kabhi dhua hai.

Tuesday, 20 March 2012

Ek sapna

Kabhi dekha tha ek spna vo sapna hi reh gya,
Mila tha ek apna vo anjana reh gya,
Aansuon se likhi thi ek kahani, jo kabhi,
Un kahaniyon ka ek afsaana bann gya.

Aankhon se jhaakti ek baat, jo kabhi hooton pe nahi aai hai,
Kabhi aansu bankar kabhi, kabhi aahein bankar iss dil main samai hai,
Kabhi toote jo pankh un jazbaaton ke,
Na jaane kyon ye aankh bhar aai hai.

Umeed ke diye  se jo kabhi ek roshni si aai thi,
Kabhi socha na tha tere bina zindigi itni tanha thi,
Kyon karte hai log pyar kisi se itna, ye hamesha khud se hi puchte rehte hai ab to,
Par unn roshniyon ke baad bhi zindigi kewal andheron ki ek gehrai thi.

Thursday, 23 February 2012

Yaadon ki parchai

Yaadon ki kuch parchai baaki hai,
Bheed main bhi tanhaiye baki hai,
Milne ki to aas bahut thi tumse,
Par kismat main abhi judai baki hai.

Hamari galtiyon ki kuch saza baki hai,
Pyar ki vo vafa baaki hai,
Chaha to bahut apni kismat badalne ki,
Par iss chahat ki aazmaish baaki hai.

Zindigi ke kuch pal baaki hai,
Aankhon ke kuch nami baaki hai,
Umeed ke diye main abhi bhi,
Roshan kuch pal baaki hai.

Raat ki khamoshi main,
Tanhaiyon ki sargoshi main,
Dil ki iss awaz main,
Chahat ki un fariyaad mai,
Abhi bhi vo dard-e-dil baaki hai.

Milne ki to aas thi,
Par kismat main abhi judai baaki hai.

Saturday, 18 February 2012

Duur tak

Duur tak sirf tanhaiya hi nazar aati hai,
Tmhari yaadein iss dil ko bahut sataati hai,
Kabhi jeete the un hassen lamho ko tmhare saath,
Par ab to kewal vo ek bhoole yaadon ki tarah yaad aati hai.

Kabhi mile inn rahon pe koi hamsa to apna lena,
Ek lamhe ki tarah hamein tm bhula dena,
Yehi dekh ke khush rahenge ki tm khush ho,
Kuch khusiyon ke pal uss anjan ke saath bhi jee lena.

Yaadon ki aaene pe kabhi waqt ki dhool na jamne dena,
Kisi ke pyar ko yu thamne na dena,
kabhi pyar karo kisi se tm agar,
Usse kabhi ye baat bhulne na dena.