Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Tuesday, 20 March 2012

Ek sapna

Kabhi dekha tha ek spna vo sapna hi reh gya,
Mila tha ek apna vo anjana reh gya,
Aansuon se likhi thi ek kahani, jo kabhi,
Un kahaniyon ka ek afsaana bann gya.

Aankhon se jhaakti ek baat, jo kabhi hooton pe nahi aai hai,
Kabhi aansu bankar kabhi, kabhi aahein bankar iss dil main samai hai,
Kabhi toote jo pankh un jazbaaton ke,
Na jaane kyon ye aankh bhar aai hai.

Umeed ke diye  se jo kabhi ek roshni si aai thi,
Kabhi socha na tha tere bina zindigi itni tanha thi,
Kyon karte hai log pyar kisi se itna, ye hamesha khud se hi puchte rehte hai ab to,
Par unn roshniyon ke baad bhi zindigi kewal andheron ki ek gehrai thi.

Thursday, 23 February 2012

Yaadon ki parchai

Yaadon ki kuch parchai baaki hai,
Bheed main bhi tanhaiye baki hai,
Milne ki to aas bahut thi tumse,
Par kismat main abhi judai baki hai.

Hamari galtiyon ki kuch saza baki hai,
Pyar ki vo vafa baaki hai,
Chaha to bahut apni kismat badalne ki,
Par iss chahat ki aazmaish baaki hai.

Zindigi ke kuch pal baaki hai,
Aankhon ke kuch nami baaki hai,
Umeed ke diye main abhi bhi,
Roshan kuch pal baaki hai.

Raat ki khamoshi main,
Tanhaiyon ki sargoshi main,
Dil ki iss awaz main,
Chahat ki un fariyaad mai,
Abhi bhi vo dard-e-dil baaki hai.

Milne ki to aas thi,
Par kismat main abhi judai baaki hai.

Saturday, 18 February 2012

Duur tak

Duur tak sirf tanhaiya hi nazar aati hai,
Tmhari yaadein iss dil ko bahut sataati hai,
Kabhi jeete the un hassen lamho ko tmhare saath,
Par ab to kewal vo ek bhoole yaadon ki tarah yaad aati hai.

Kabhi mile inn rahon pe koi hamsa to apna lena,
Ek lamhe ki tarah hamein tm bhula dena,
Yehi dekh ke khush rahenge ki tm khush ho,
Kuch khusiyon ke pal uss anjan ke saath bhi jee lena.

Yaadon ki aaene pe kabhi waqt ki dhool na jamne dena,
Kisi ke pyar ko yu thamne na dena,
kabhi pyar karo kisi se tm agar,
Usse kabhi ye baat bhulne na dena.

Tuesday, 14 February 2012

Dil se bhula diya


Dil se bhula diya, aankhon se kabhi na girana,
Hame itna tadpaya kisi aur ko na tadpana,
Kabhi mud ke dekoge un rahon pe, hum vahi milenge,
Jaha socha tha kabhi hoga apna bhi ek aashiyana.


Yu ruthne manaane ke khel main zindigi kahi peeche chooth gai,
tmse kiye the jo vaade, vo saare bhi toot gye,
Sapno ka kya vo to bante hi hai tootne ko,
Par sapno ke jo raahi the vo bhi saare chooth gye.


Ghire hai teri yaadon ki parchaiyon se iss kadar
Ki apna aks hi dekhna mushkil ho gya 
Chaha to bahut tujhe paane ki
Par ab to bas in tanhaiyon main hi ghir ke reh gya.

Monday, 6 February 2012

kadmon ke nishaan


Unrahon pe tere kadmon ke nishaan aaj bhi baaki hai,
Mere dil main teri mohabaton ke nishaan aaj bhi baaki hai,
Tumne hamse kabhi pyar nahi kiya ye to hum jaante hai,
Par kya kare aaj bhi hamare dil main vo pyar ke armaan baaki hai.

Tere jaane ke baad koi Khushi hamari na rahi,
Teri pyar bhari vo yaadein ab hamari na rahi,
Kabhi aapke dil ke kareeb hote the hum,
par ab vo jagha bhi hamari na rahi.

Haste hai sabke saath par dil fir bhi roota hai,
Iss duniya main apna pyar khone wala kabhi khush nahi hota hai,
In duriyon ke baad bhi ye pyar kabhi khatam nahi hoga hamara,
kyonki, apne sapno ko luta kar bhi kabhi koi chain se sota hai.  

Tuesday, 31 January 2012

Iss dil ne


Iss dil ne ab pyar karna chod diya,
Jis din se tmne ye dil tod diya,
Ab to ro bhi nahi sakte apni bebasi pe,
Iss liye in aankhon ne ab rona bhi chod diya.


Zindigi main ek sapna dekha tha vo bhi toot gya,
Chaha tha jise poore dil se vo bhi rooth gya,
Pta nahi kyon jee rahe hai tere jaane ke baad bhi,
Ab to tanhaiye reh gai bas hamare saath, jo raahi se saath ke sab vo bhi chooth gye.


Tanhaiyon main bas itni dua karte hai,
Uss ko hamesha khush rakhna jis pe hum marte hai,
Hamari khushi to kewal us se hi judi hai, ye kaise samjhaye use,
Aur chaha ke bhi nahi bhula sakke jis se hum pyar karte hai.

Monday, 23 January 2012

jana hi tha


Jab jana hi tha tmhe to aaye kyon hamari zindigi main,
Yu rulana tha fir kyon hasna sikhaya hame,
Ab to tadapne ke liye chod diya saari umar,
Pal pal yu marna hi tha to zinda kyon btaya hame.

Zindigi se bhagte bhaagte zindigi takra gai,
Maut ki taraf chale par zindigi bha gai,
Tmnse na milte to iss pyar ko kabhi na samajh pate,
Tujhse bichadna mano haath se zindigi chuuth gai.

Tum se ankahe kuch alfaaz baki hai,
Toote iss dil ki awaaz baaki hai,
Anjaam to bahut dekhe honge tmne jazbaato ke,
Par iss pyaar ka abhi agaaz baaki hai.

Friday, 20 January 2012

Zindigi Ki kitaab


Kabhi zindigi ki kitaab paltoge to ek panna hamara bhi nazar aayega,
Chaho na chaho hamara chehra tmhe fir nazar aayega,
Tab bhi ye mat samajhna ki vo ek guzra hua kal tha,
Awaaz de ke dekhna vo us waqt bhi tmhare saye ki jagah nazar aayega.

Jazbato se khelna kabhi hamne nahi seekha,
Majdhaar main akela chodna kabhi hamne nahi seekha,
Vo to aur honge jo pyar ke naam pe dil toda karte hai,
Ham to vo hai, jo toote dil ke saath bhi kabhi marna nahi seekha.

Zindigi ne gum itne diye ki,
Khushi ki baat se bhi ab to darr lagta hai,
Rehte the tmhare saath to ye zindigi, zindigi lagti thi,
Ab to ye zindigi bhi ek viraan basera sa lagta hai

Jab tak saas hai teri yaad yu hi aayegi,
Tere bina to ye zindigi har waqt yu hi tadpayegi,
Kabhi yaad aaye hamari to pukaar lena,
Tmhe hamari yaad nahi to, hame saari umar tmhari yaad aayegi.

Tuesday, 17 January 2012

Kaash agar main


Kaash agar main ek fuul hota,
Kabhi to tmhare hoton ko chuta,

Kaash agar main ek aasu ki boond hota
Kabhi to khushi main tere gaalon ko chumta.

Kaash agar main ek hawa ka jhoka hota
Kabhi to teri saason ki khushbu apne main sameet leta.

Kaash agar main ek sapna hota,
Kabhi to tum band aankhon se bhi mujhe dekhti,

Kaash agar main ek aaena hota,
Kabhi to tm apne aapko mujh me dekte,

Kaash main ek dua hota,
Kabhi to tm dono haath utha ke hamein bhi rab se maangte,

Kaash agar main ek lamha hota,
Kabhi to tm mere saath bhi jeete

Kaash agar main ek umeed hota,
Kabhi to tm mujh pe bhi vishvaas karte.


Kaash agar main...... kaash agar main....!!!!!

Monday, 9 January 2012

koi apna mila


Zindigi ke anjaan raho pe koi apna mila,
Jo khawab aankhon main basa tha vo sapna mila,
Tanha chale the jin andheri raho pe,
Un raho pe ek roshni ka saath mila.


Sapno ke udaan main khoye the kuch iss tarah,
Bhool gaye the apne aap ko kuch iss tarah,
Vo sapne to ab bas sapne ban ke reh gye,
Ab to hakeekat bhi lagta hai ek sapne ki tarah.


Tanhaiyon se darte the to tmne smbhala,
Doobte is dil ko tmne sambhala,
Ab to bas yaadon main hi tm baste ho,
Jin yaadon ko ab tak hamne sambhala.