Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Sunday, 25 May 2014

Teri Galat Fehmi

Tujhse koi sar-o-kaar nahi mera, ye teri galat fehmi hai,

Tujhe na koi jazbaat juda, ye teri galt fehmi hai,

Marne se darte nahi hum bas jeene ka khauf hai,

Ke tere bina kabhi jee lenge hum, ye sochna bhi, teri galat fehmi hai.

 

Har ek aansu ki boond teri, meri dil pe ek ghaav chod jati hai,

Tera sisak-sisak ke rona, har ek umeed tod jati hai,

Ye jaan ke bhi, ke tera pyar mere liye nahi tha kabhi,

Tujhe pyar karna chod dunga main, ye teri galt fehmi hai,

 

Apna dil dikha sakta tujhe to dikha deta,

Teri iss galat fehmi ko bhi zarur mita deta,

Bas saason ki dor kab tak saath denge, ye pta nahi mujhe,

Par marne ke baad bhi tujhe akela chod jau, ye teri galat fehmi hai.

Saturday, 24 May 2014

Dil ki baat kabhi chupai nahi unse,

Aankhon ke jazbaat kabhi chupai nahi unse,

fir bhi andar hi andar ghutte rahe the vo,

aur jaan ke bhi ye baat kabhi chupai nahi unse.

 

Kehne ko bahut tha dil main par labzo ne saath na diya,

Aankhon main nami bahut thi par aasuon ne saath na diya,

ek baar muud ke dekh lete mujhe, Khade the hum vahi namm ankho ko le kar,

Koshish bhaut ki rokne ki tujhe par zindigi ne saath na diya,

 

meri zindigi pe mera ikhtiyar, na ho na sahi,

mere pyar se tera iqraar, na ho na sahi,

janti tu bhi hai iss bat ko, ki tujh se zayada kisi ko chaha nahi maine,

meri baato pe tuje aaitbaar, na ho na sahi.

Friday, 23 May 2014

Tujhe bhulne ki aj bhi ek nakam koshish karta hu main,

Kya pta kabhi tujhe bhulte bhulte, khud ko yaad aa jau main.

Shaam hoti hai teri yaad aati hai,
Ek thandi hawa iss dil ko chhu jati hai,

Dil ki khawaish hoti hai tere paas hone ki,
Par sirf teri yaadein hi saath hoti hai.

har lamha guzar jata hai, uski yaad main
ke kuch to baat hogi unki saath ki bhi.

Ek shaam guzre unki, mere saath bhi,
Bas karta rahu main sirf unki baat hi,

haath chhute na kabhi unka mere haath se,
har pal karta hu ibadat isi baat ki,

Aankh khulte hi ek haseen sapna aur tuut jata hai,
Ek thandi hawa iss dil ko chhu jati hai,





Wednesday, 27 November 2013

Pal

 

Pal Beeta, jazbaat beetey, beetey din aur saal,
Na beeta vo lamha mujhse na beetey uske khayal,

Na beeti uski pyari baatein, na beetey vo jazbaat,
Har pal maine maanga  bas ek uska hi saath.

Har baar sapno main hoti hai unse mulakat,
Ke Karte hai unse har baar apne dil ki baat.

Rom Rom mehka meri bas ek uski hi khusboo se,
Aai vo is duniya main bas mere liye, ek meri hi aarzoo se.

Har aarzoo main, har tamana main vo thi mere,
Har jazbaat main, har mulakaat main vo thi mere,

Par chahati kyu nahi vo mujhe, mera dil puche bas ek ye sawal,

Pal Beeta, jazbaat beetey, beetey din aur saal,
Na beeta vo lamha mujhse na beetey uske khayal,

Monday, 25 November 2013

Beetey Pal

 

Us din hum tumhe fir se yaad aayenge,
kabhi Jab beetey pal satayange,

Jab Sitaare saare baadlo main chup jayenge,
Jab tanha raat koi geet fir se gun gunayenge,
Jab zehan main kuch sawal teek ke tarha chubh jayenge,
Jab bheed main bhi hum tujhe Tanha chod jayenge,

Us din hum tumhe fir se yaad aayenge,
kabhi Jab beetey pal satayange,

Keemtey the vo pal, jo bitaye maine tumhare saath,
yaad hai teri har hasi, har ek aansu ke baad,
Tere maasoom chahre ko kabhi na hum bhool payenge,

Us din hum tumhe fir se yaad aayenge,
kabhi Jab beetey pal satayange,

Dekhoge har aks main apne, mera hai aks ab to,
Teri har saans main aayegi khushboo meri hi ab to,
Saath nahi to kya, tere dil ke kisi kone main aaj bhi zinda hu main,
Ke iss saach ko jhooth kaise banayegi tu ab to,

Tadap dekh ke meri apne ashq tum rok na paoge,
Har waqt bas yehi sochne pe tum bhi majboor ho jaoge,
sahi the hum, jo tumhe itne yaad aayenge,
Ke kabhi Jab beetey pal satayange,

Saturday, 9 November 2013

Guzra Zamana

 

Jab bhi vo guzra zamana yaad aata hai,

Tere saath hone ka nazraana yaad aata hai,

Aj bhi tujhe yaad karke aankhen namm ho jaati hai,

Ke pyar dekh ke, humein apna pyar yaad aata hai.

 

Andhere se humein abb pyar hai ,

Roshni se hota dil ye bekaraar hai,

Pyar karne ki saza kab tak milegi humein, iska illm nahi humein,

Par log dekh ke yehi kehte hai, kya isi ka naam pyar hai.

 

Tu nadi main tera kinara hu,

Tu umeed, main tera sahara hu,

Yu nazrein ferr ke na satao iss dil ko iss kadar,

Ke tu mera aasmaan, aur main tera Sitara hu.

 

 

Thursday, 13 June 2013

Bhulaye Nahi Bhoolta

Pehla pyar kisi ka kbhi, bhulaye nahi bhoolta,
Chhup chhup ke use dekhna, bhulaye nahi bhoolta,
Har pal usiki yaadon main rehna,
Har waqt usi ki baatein karna, bhulaye nahi bhoolta,

Har shaam tere ghar ke chakkar lagana,
Vo mujhe dekh ke tera muskurana,
Sabse nazar bacha ke tujhse baatein btana,
Tere ek aansu pe udaas hojana, bhulaye nahi bhoolta,

Ek choti baat pe tera ruuth jana,
Teri ek muskaan aane tak tujhe manana,
Har baar tujhe apne seene se lagana,
Har baar teri yaadon main fir kho jana, bhulaye nahi bhoolta .








Sunday, 2 June 2013

Cigarette hai to kya hu

 

Tujhe bhulane ke liye peeta hu main,

khud ko mitane ke liye peeta hu main,

Cigarette hai to kya hua,

Tera gum bhulane ke liye peeta hu main.

 

Har ek kash main tujhe bhulata hu main,

Har ek pal main maut ke aur kareeb jata hu main,

Cigarette hai to kya hua,

Dil jalane ke liye peeta hu main.

 

Wafa nahi karti to bewafai bhi nahi karti ye,

Ke mujhe chod ke ruswai bhi nahi karti ye,

Jab chaha mujhe mil gai,

Ke teri tarha intazaar nahi karati ye.

Cigarette hai to kya hua,

Tujhe dil main samane ke liye peeta hu.

 

Janta hu ke maut ko hoton se lagata hu main,

Har kash main zindigi dhuein main udata hu main,

Manta hu har uss pal main bhool jaata hu tujhe,

Jis bhi pal main jalata hu isse,

Cigarette hai to kya hua.

Thursday, 30 May 2013

Mujhe sone nahi deta

Koi ha jo mujhe sone nahi deta,
Rona chahata hu magar vo mujhe rone nahi deta,
Mere aashiya ko chod chala vo parinda jo kabhi mera tha,
Na jane kyu vo khud ko kisi ka hone nahi deta.

Kai sapne de chala mujhe vo chodne se pehle,
Kai yaadein de gya, dil todne se pehle,
Har baat pe meri jo khil khila ke hasta tha kabhi,
Kaun hai use jo hasne nahi deta,

Koi hai jo mujhe sone nahi deta,
Rona chahata hu magar rone nahi deta.

 Har baat pe zidd karti thi vo mujhse,
Jane Pyar kyu nai karti thi vo mujh se,
Ke har khushi dene ka kiya tha vaada us se maine,
Shayad iss baat se darti thi vo mujh se.
Kaun hai jo use mera hone nahi deta,

Koi hai jo mujhe sone nahi deta,
Rona Chahata hu magar mujhe rone nahi deta.