Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.

Saturday, 9 November 2013

Guzra Zamana

 

Jab bhi vo guzra zamana yaad aata hai,

Tere saath hone ka nazraana yaad aata hai,

Aj bhi tujhe yaad karke aankhen namm ho jaati hai,

Ke pyar dekh ke, humein apna pyar yaad aata hai.

 

Andhere se humein abb pyar hai ,

Roshni se hota dil ye bekaraar hai,

Pyar karne ki saza kab tak milegi humein, iska illm nahi humein,

Par log dekh ke yehi kehte hai, kya isi ka naam pyar hai.

 

Tu nadi main tera kinara hu,

Tu umeed, main tera sahara hu,

Yu nazrein ferr ke na satao iss dil ko iss kadar,

Ke tu mera aasmaan, aur main tera Sitara hu.

 

 

Thursday, 13 June 2013

Bhulaye Nahi Bhoolta

Pehla pyar kisi ka kbhi, bhulaye nahi bhoolta,
Chhup chhup ke use dekhna, bhulaye nahi bhoolta,
Har pal usiki yaadon main rehna,
Har waqt usi ki baatein karna, bhulaye nahi bhoolta,

Har shaam tere ghar ke chakkar lagana,
Vo mujhe dekh ke tera muskurana,
Sabse nazar bacha ke tujhse baatein btana,
Tere ek aansu pe udaas hojana, bhulaye nahi bhoolta,

Ek choti baat pe tera ruuth jana,
Teri ek muskaan aane tak tujhe manana,
Har baar tujhe apne seene se lagana,
Har baar teri yaadon main fir kho jana, bhulaye nahi bhoolta .








Sunday, 2 June 2013

Cigarette hai to kya hu

 

Tujhe bhulane ke liye peeta hu main,

khud ko mitane ke liye peeta hu main,

Cigarette hai to kya hua,

Tera gum bhulane ke liye peeta hu main.

 

Har ek kash main tujhe bhulata hu main,

Har ek pal main maut ke aur kareeb jata hu main,

Cigarette hai to kya hua,

Dil jalane ke liye peeta hu main.

 

Wafa nahi karti to bewafai bhi nahi karti ye,

Ke mujhe chod ke ruswai bhi nahi karti ye,

Jab chaha mujhe mil gai,

Ke teri tarha intazaar nahi karati ye.

Cigarette hai to kya hua,

Tujhe dil main samane ke liye peeta hu.

 

Janta hu ke maut ko hoton se lagata hu main,

Har kash main zindigi dhuein main udata hu main,

Manta hu har uss pal main bhool jaata hu tujhe,

Jis bhi pal main jalata hu isse,

Cigarette hai to kya hua.

Thursday, 30 May 2013

Mujhe sone nahi deta

Koi ha jo mujhe sone nahi deta,
Rona chahata hu magar vo mujhe rone nahi deta,
Mere aashiya ko chod chala vo parinda jo kabhi mera tha,
Na jane kyu vo khud ko kisi ka hone nahi deta.

Kai sapne de chala mujhe vo chodne se pehle,
Kai yaadein de gya, dil todne se pehle,
Har baat pe meri jo khil khila ke hasta tha kabhi,
Kaun hai use jo hasne nahi deta,

Koi hai jo mujhe sone nahi deta,
Rona chahata hu magar rone nahi deta.

 Har baat pe zidd karti thi vo mujhse,
Jane Pyar kyu nai karti thi vo mujh se,
Ke har khushi dene ka kiya tha vaada us se maine,
Shayad iss baat se darti thi vo mujh se.
Kaun hai jo use mera hone nahi deta,

Koi hai jo mujhe sone nahi deta,
Rona Chahata hu magar mujhe rone nahi deta.



Saturday, 25 May 2013

Rakhta hu

Ye baat hai ki gumnaam rehta hu main,
Teri har khabar din raat rakhta hu main,
Teri har saans ki aahat aati hai mujhe,
Dil ke kareeb tere jazbaat rakhta hu main.

Teri khamoshi ki awaaz sunta hu main,
Teri unnkahi fariyaad sunta hu main,
Rehta nahi tere dil main ye aur baat hai,
Par tere dil ki har awaaz sunta hu main.

To kya hua Tujh se pyar ki umeed rakhta hu main,
Ye dil sirf tere liye rakhta hu main,
Vo aur honge dil todne wale,
Ki teri har khushi hifazzat se rakhta hu main.

Wednesday, 8 May 2013

Tujhe maine

Dil todna to uski ek aadat ho gai hai,
Mera ishq meri ibaadat ho gai hai,
Har nazm  main ek unka hi naam aata hai meri,
Ke mujhe unse iss kadar mohabbat ho gai hai.

Shaamo seher unki yaad hi rehti hai in aankhon main,
Har ek labaz ke baat aata hai zikar unka meri baato main,
Tujhe yakeen ho na ho mujhe na chahane wale,
Ke ek aashiya banaya hai maine tera apni yaadon main.

Dil jala ke hasya tujhe maine,
Saari duniya se churaya tujhe maine,
Har pal bhool gai tu, khabar hai mujhe iski,
Par aj bhi unsapno main sajaya tujhe maine.

Tuesday, 7 May 2013

Meri kismat main pyar nahi

Ki har shaqs bichad gya mujhse inn raaho pe,
Jaise meri kismat main pyar nahi,
Har insaan ruthh gya iss kadar humse,
Ke dil main unke koi ehsaas nah,
Pyar ki kasmein khate the jo kabhi hamare saamne,
Aaj unhe hi iss pyar pe aaitbar nahi,

Ke kismat main pyar nahi mere, ye baat maan chukey hai hum,
Har ek shaqs ki ab sacchai jaan chuke hai hum,
Ke ab to ye dil lagane se bhi darte hai iss kadar,
Ke dil lagane ka anjaam jaan chuke hai hum.

Mana khaye honge dhoke tumne bhi kabhi,
Ke dil toota hoga tera bhi,
Ye maan ke chal har shaqs jo pyar main hai, vo dil todta nahi,
Aur dil todne wala kabhi pyar main dil jodta nahi.

Monday, 6 May 2013

Kaise btau tujhe

Kaise btau tujhe ki mujhe tujh se kitna pyar hai,
Har inkaar ke baad ye dil karta ikraar hai,
Na tujhe khabar hai, na tere dil ko pta,
Ke ye dil bhi tere liye kitna bekarar hai.

Har shaqs main ek tera hi aks nazar aata hai,
Chahat ki kitaab main tera hi zikar nazar aata hai,
Har roz dua mangte hai rubb se sirf tujhe paane ki,
Ke abb to har dua hi bemaani sa nazar aata hai.

Aazmaoge mere pyar ko to ye samajh jaoge,
Ke mere jaane ke baad bhi mujhe bhool na paoge,
Na chahate tujhe itna ki khud ko hi bhool jaye,
Agar ilm hota ye zara bhi ke itna tum tadpaoge.

Friday, 19 April 2013

Dil karta hai

Tujhse pyar jatane ka dil krta hai,
Tujhe apna banane ka dil karta hai,
Dard hai zindigi main bahut,
Par tere pyar main dil jalane ka dil karta hai.

Tere gum churane ka dil karta hai,
Tujhe hasane ka dil karta hai,
Jeene ke mayne hai zindigi main magar,
Tere khushiyo ke liye khud ko mitane ka dil karta hai.

Tere labon pe hasi sajane ka dil karta hai,
Tujhe bahoon main samane ka dil karta hai,
Manzilein bahut hai in raaho ke,
Par tujhe ek manzil banane ko dil karta hai.

Tujhe apna banane ko dil karta hai.

Thursday, 18 April 2013

Khush naseeb

Kuch log hote hai khush naseeb itne,
Ke pyar milta hai unhe isi zindigi main,
Aur kuch hote hai badd naseeb itne,
Ki tnha chalna padta hai unhe isi zindigi main.

Tanhai ki baat na karna vo to ek sathi hai apna,
Jab tak jiyenge saath nibhayega apna,
roge tum hamare liye ek din,
Ki maut bhi to ek saathi hai apna.

aankhon main nami na hogi mere,
Ke dil tutne pe ab dard nahi hota,
Dard iss baat ka hota hai kai baar
ki todne ke liye Seene main do dil kyu nai hota...