Some people feel like they don’t deserve love. They walk away quietly into empty spaces, trying to close the gaps of the past.
Tuesday, 15 May 2012
Tumhari Tasveer
Thursday, 10 May 2012
Adhoori si
Dil main dard aur hoton pe hasi, vo bhi kuch adhoori si,
Kabhi jeete the unke saath vo khushi ke pal jo,
Un palon ki ab yaadein reh gai, vo bhi adhoori si.
Ki na khudki na thi jahan ki koi khabar,
Ab to saara jahan hi lagta hai anjaana sa ho gya mano,
Aur Meri saasein bhi chal rahi ho, vo bhi kuch adhoori si.
Ab to lagta hai, vo pal na jee sakenge fir kabhi,
Bas unki yadein sameet ke rakh liya hai iss dil main is kadar,
Ki Jab bhi yaad karu iss to lagta hai gum hai zindigi main, par vo bhi kahi adhoori hai.
Thursday, 12 April 2012
Zindigi Ek Juaa
Pucho to zindigi ek juua hai,
kabhi badal to kabhi dhua hai,
kabhi umeed ki ek dua hai,
kabhi nazdeekiyon ki ek dor hai,
kabhi khamoshiyon ka shor hai,
kabhi pyar ki ek leher hai,
kabhi akelepan ki ek sehar hai,
kabhi ek naye rishtay ki saugaat ha,
kabhi toote ek dil ki fariyaad hai,
Kabhi ye pyar karne ki ek vajah hai,
Kabhi ye ek nasamjhi ki saza hai
kabhi josh ek junoon hai,
kabhi apno ke paas hone ka sakoon hai,
kabhi gum ka sagar hai,
Kabhi khushiyon ka ambaar hai,
Pucho to zindigi ek juua hai,
Kabhi badal to kabhi dhua hai.
Tuesday, 20 March 2012
Ek sapna
Kabhi dekha tha ek spna vo sapna hi reh gya,
Mila tha ek apna vo anjana reh gya,
Aansuon se likhi thi ek kahani, jo kabhi,
Un kahaniyon ka ek afsaana bann gya.
Aankhon se jhaakti ek baat, jo kabhi hooton pe nahi aai hai,
Kabhi aansu bankar kabhi, kabhi aahein bankar iss dil main samai hai,
Kabhi toote jo pankh un jazbaaton ke,
Na jaane kyon ye aankh bhar aai hai.
Umeed ke diye se jo kabhi ek roshni si aai thi,
Kabhi socha na tha tere bina zindigi itni tanha thi,
Kyon karte hai log pyar kisi se itna, ye hamesha khud se hi puchte rehte hai ab to,
Par unn roshniyon ke baad bhi zindigi kewal andheron ki ek gehrai thi.
Thursday, 23 February 2012
Yaadon ki parchai
Yaadon ki kuch parchai baaki hai,
Bheed main bhi tanhaiye baki hai,
Milne ki to aas bahut thi tumse,
Par kismat main abhi judai baki hai.
Hamari galtiyon ki kuch saza baki hai,
Pyar ki vo vafa baaki hai,
Chaha to bahut apni kismat badalne ki,
Par iss chahat ki aazmaish baaki hai.
Zindigi ke kuch pal baaki hai,
Aankhon ke kuch nami baaki hai,
Umeed ke diye main abhi bhi,
Roshan kuch pal baaki hai.
Raat ki khamoshi main,
Tanhaiyon ki sargoshi main,
Dil ki iss awaz main,
Chahat ki un fariyaad mai,
Abhi bhi vo dard-e-dil baaki hai.
Milne ki to aas thi,
Par kismat main abhi judai baaki hai.
Saturday, 18 February 2012
Duur tak
Tmhari yaadein iss dil ko bahut sataati hai,
Kabhi jeete the un hassen lamho ko tmhare saath,
Par ab to kewal vo ek bhoole yaadon ki tarah yaad aati hai.
Kabhi mile inn rahon pe koi hamsa to apna lena,
Ek lamhe ki tarah hamein tm bhula dena,
Yehi dekh ke khush rahenge ki tm khush ho,
Kuch khusiyon ke pal uss anjan ke saath bhi jee lena.
Yaadon ki aaene pe kabhi waqt ki dhool na jamne dena,
Kisi ke pyar ko yu thamne na dena,
kabhi pyar karo kisi se tm agar,
Usse kabhi ye baat bhulne na dena.
Tuesday, 14 February 2012
Dil se bhula diya
Monday, 6 February 2012
kadmon ke nishaan
Tuesday, 31 January 2012
Iss dil ne
Monday, 23 January 2012
jana hi tha
Jab jana hi tha tmhe to aaye kyon hamari zindigi main,
Yu rulana tha fir kyon hasna sikhaya hame,
Ab to tadapne ke liye chod diya saari umar,
Pal pal yu marna hi tha to zinda kyon btaya hame.
Zindigi se bhagte bhaagte zindigi takra gai,
Maut ki taraf chale par zindigi bha gai,
Tmnse na milte to iss pyar ko kabhi na samajh pate,
Tujhse bichadna mano haath se zindigi chuuth gai.
Tum se ankahe kuch alfaaz baki hai,
Toote iss dil ki awaaz baaki hai,
Anjaam to bahut dekhe honge tmne jazbaato ke,
Par iss pyaar ka abhi agaaz baaki hai.